ISLAM FOR ALL

ISLAM FOR ALL

Share

An Easy way to Suggest to Friends:- 1.Copy the below JavaScript Code: javascript:fs.select_all() ... 2.

Click "Suggest to Friends" 3.Press "Alt+D" 4.Press "Ctrl+V" 5.Press "Enter" 6.Click "Send Invites". Assalamualaikum wa rehmatullahi wa barakatu :-)

"Welcome To ISLAM FOR ALL"

Join this page to get the blessings of ALMIGHTY which he gave us in the form of sayings of HIS beloved PROPHET (sallallah o aliehe wa’aliehe wasalam)

Tag Code: @+[111260668919365:]

01/07/2023

“Masaib o Mushkilat Mein Pareshan Na Rahen Balke Unhi Masaib Aur Tute Dilon Ke Zariye Allah Ta’ala Se Duayen Mangen.”

04/06/2020

Hame sirf Ramzan me hi nahi Aam Dino ko bhi isy parhne ki zarurat hi nahi balke ahmiyat hai

Allah ham sabko Quran ko aisy parhne ki taufeeq ata farmaye jaisy tu chahta hai Ameen

Afzal

RAMAZAN COLLECTION 25/05/2019
RAMAZAN COLLECTION 25/05/2019

Hazrat Ibn e Umar (RadiAllahuanho) se riwayat hai kay RASOOL ALLAH (Sal lal lahu Alaihi Wa sal lam) ne sadqa e fitr namaz (eid) k liye jane se pehle nikalne ka hukm diya *.
(bukhari, h:1590)

AAP ne sadqa e fitr har mard, aurat, bachay aur ghulam ko ada karna ka hukm farmaya, taake roza fuzol aur BEHUDA baato se paak ho jaye aur miskeeno ko eid ka saman muayasar aa sakay. Bacho ki taraf se unkay sar parast aur ghulam ki taraf se uska malik ada kare.

Zakat sirf 2.5% dena hai,aur ZAKAT dene se admi Gharib ye FAKHEER nahi hota,balke ZAKAT dene ki wajah se ALLAH uske maal ki Hifazat karte hai aur uska maal pak hojata hai.....Aur pehle ki ummato me ZAKAT ka saara MAAL ek pahad MOUNTAIN par rakhdiya jaata aur asmaan se ek bijli ya aag aati aur us maal ko jaa deti aisa nizam tha pichlo ummato lekin...Hamara pass to bahot saare ghareeb yateem aur madarse hai,jahan par hum apna maal de sate hai aur is ka Faida b hum hoga In sha Allah Duniya aur akhirat me...

(Marhum Dead) k liye unke naam par Sadqa va khairat kare,unke naam par sawab e jariya k kaam kare jaise k Masjid ki tameer me apni haisiyat k mutabiq hissa le,yar phr koi Masjid me Boring BORE WELL waghera waghera....
NOTE: MASJID K LIYE ZAKAT OR SADAQAT KA PAISA NAHI DE SAKTE.....

Sadqa: Hadees me aata hai k SADQA "BALAO" PARESHANI" MUSIBAT ko dur karta hai....islye Sadqe ka ehtemam kare

KAPDA pehnana ya phr kisi ko LIBAS pehnana: Hazrath Imam abu hanifa Rehamtullahi aley... Jab bhi aap kisi ko KAPDA pehnata ya banate to sabse accha mehnga COSTLY banate aur jab pucha jaata to aap farmate k mai ye KAPDA ALLAH k lye bana raha hun,to kyu na mai sab se behtar aur accha banau ?? mere liye to mai kab bi bana sakta hun.... ek hadees me aata hai k hum jo bhi sadqa va khairat karte hai vo Sab sse Pehle ALLAH RABBUL IZZAT k Daste MUBARAK me jaata hai phr dusre k haath me jaata..ALLAH Rabbul izzat bande ki neeyat ikhlas dekhte hai......lekin hamare pass mamla kuch ultha hai...yaha par RAMAZAN shuru hote hai newspapers me new ADS aate hai (SPECIAL ZAKAT sarees at wholesale Rates)
(SPECIAL ZAKAT CLOTHES SECTION) etc etc; Jaha tak maine suna hai jo ZAKAT ki Saree hoti hai vo 4 ya phr 4.5 meters ki hoti hai,jisko na to pehen sakte hai aur na hi uska kuch kar sakte hai...aisi cheez ALLAH ki Raza k liye ALLAH k hukum k liye dekar kya faida jis cheez se kisi ko faida hi na ho...ye to vohi baat hogi
(TERA EHSAN MERA NUQSAAN)

NOTE: agar aap (HYDERABAD INDIA) me rehte ho to aap
Burma Refugee Camp At Balapur HYDERABAD me aapka Zakat ya phr sadqa k zariye contribution kar sakte hai

--------------------------------------------------------------------
In Sha Allah yaha par Tafseel se hadeese hai

Sadqa gunah ko iss tarah mita deta hai jis tarah pani aag ko bujha deta hai.
RASOOL ALLAH (Sal lal lahu Alaihi Wa sal lam)
(tirmizi, h:2616)

Hazrat Ibn e Umar (RadiAllahuanho) se riwayat hai kay RASOOL ALLAH (Sal lal lahu Alaihi Wa sal lam) ne sadqa e fitr namaz (eid) k liye jane se pehle nikalne ka hukm diya *.

(bukhari, h:1590)

Ibn Abbas (RadiAllahuanho) se rivayat hai ki RASOOL ALLAH (Sal lal lahu Alaihi Wa sal lam) ne Zakat-ul-Fitr ko bekar aur behuda baat se Rozey ko paak karney aur Miskeeno ki parwarish ke liye muqarar farmya hai jo shaksh Eid ki namaz se pahley isey ada karega wo zakat ki tarah qubul kiya jayega aur aur agar k
koi Namaz ke baad ada karega to wo dusrey sadqey ki tarah ek sadqa hoga.
Sunan Abu Dawud, vol 1 , 1596

Abdullah bin umar (RadiAllahuanho) se rivayat hai ki RASOOL ALLAH (Sal lal lahu Alaihi Wa sal lam) ne Sadqa-e-Fitra (zakat ul fitar) ek sa khajur ya ek Sa jou (barley ) (One Sa') farz qarar di hai jo Ghulam, Aazad, Mard , Aurat chotey aur badey tamam musalmano par farz hai aur Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne ye hukm diya hai ki Namaz (Eid) ke liye janey se pahley ye Sadqa Ada kar diya jaye
Sahih Bukhari , Vol2, 1503

NOTE: SADQA E FITR ki MAGHDAR,Quantity (1KG 750 grams WHEAT,GEHU or 1.75KG) hai aur iski Kheemat yaha (India hyderabad) me 50 Rupees hai dusre STATES or Countries me Shayad RATE Zyada ho...islye 1.75KG WHEAT k hisab se jitne family members hai un sab ki taraf se diya jaaye....

Ibn e Abbas (RadiAllahuanho) bayan karte hai, RASOOL ALLAH (Sal lal lahu Alaihi Wa sal lam) khair o bhalai main sab say ziada sakhi thay, aur jb ramzan main Jibrail (alaihi salam) AAP say mulaqat krtay tou AAP ki sakhawat barh jati, Wo ramzan ki har raat main AAP se mulaqat krtay tou NABI unhe Quran sunaya karte they, jab Jibrail AAP say mulaqat krtay tou AAP kher o bhalai aur sakhawat karne main kholi hawa (tez raftar aandhi) say bi badh kar hote they.
(bukhari, h:1902)

AbuSa'id Khudri (RadiAllahuanho) se rivayat hai ki RASOOL ALLAH (Sal lal lahu Alaihi Wa sal lam) ne farmaya jo Musalmaan kisi nangey(naked) Musalmaan ko kapdey pahnayega to Allah taala usko jannat ka hara (green) libas pahnayega, aur jo musalmaan kisi bhukey musalmaan ko khana khilayega to Allah
subhanahu usko jannat ke phal (fruits) khilayega aur jo musalmaan kisi pyasey musalmaan ko paani pilayega to Allah Subhanahu usko jannat ki sharab peelayega
Sunan Abu Dawud, Vol 1, 1669
----------------------------------------------------------------------
Hazrat Abu Masood Badri (RaziALLAHU Anhu) farmate hain ki RasulALLAH (Sal'lal'lahu Alaihe Wasallam) ne irshaad farmaya :
Jis shakhs ne bhalayi ki taraf rehnumayi ki Use bhalayi karne waale k barabar sawaab milta hai. [Abu dawood : 5129]
-------------------------------------------------------
Sarkar E Do Alam (SAllalAllahu Alaih Wa Alyhi Wasalam) Na Farmaya: "Allah Ki Qasam Agar Teray Zariye Aik Aadmi Ko Hidayat Mil Jaye Tu Wo Teray Liye Surkh Ountoun Sy Behtr Hay."
(Sunan Abu Da'ood, Jild 3, Page 322)

Bahot bahot shukriya Itna Lamba status padhne ka Agar Mumkin ho to plz share kariye JazakAllah khair :-)

FOR ENGLISH CHK IN COMMENTS

Photos from ISLAM FOR ALL's post 15/05/2019

Asalam o alaikum wa rahmatullahi wa barakatuhu
Share as sadqa e jariya

Mehraj Ka Safar 03/04/2019

Safar E Meraj Ke Baaz Mushahedaat
Meraj ke safar me Rasoolullah sallallahu alaihi wasallam ne bhot si cheezen dekhin jo Hadees aur Shurooh e Hadees me jagah jagah muntashir hain. Imam Baihaqi rah ne DALAILUL NABUWWAT jild 2 me aur Hafez Noor uddin Haithmi rah ne Majmua Zawaid jild 1 me aur Allama Muhammad Bin Suleman Al Maghribi ne Jamul Fawaid jild 3 me aur Hafez Ibne Kaseer rah ne apni Tafseer me aur Allama Ibne Hishaam ne apni Seerat me jama kiya hai.
Aalam e Alawi me jo cheezen mulaheza farmayi, riwayaat e saabiqa me unme se bhot zikr kardi gayi hain, ab Aalam e Suflaa ke baaz mushahedaat zail me likhe jate hain.
1) Hazrat Moosa Alaihis Salam Ko Qabar Me Namaz Padhte Hue Dekhna
Hazrat Anas Razi Allahu anhu se Riwayat hai Rasoolullah sallallahu alaihi wasallam ne bayan farmaya ke Jis Raat mujhe Sair karai gayi Mai Moosa alaihi salaam par guzra wo Apni QABAR me NAMAZ padh rahe the.
(Saheeh Muslim Jild 2 Safha 268)
2) Aise Logon Par Guzarna Jin Ke Hont Qainchiyo Se Kaate Jarahe The
Hazrat Anas razi Allahu anhu se ye bhi Riwayat hai ke Rasoolullah sallallahu alaihi wasallam ne Irshad farmaya ke
Jis raat mujhe Sair karai gayi us raat me, Maine kuch logo ko dekha jin ke Hont AAG ki Qainchiyon se Kaate jarahe hain, Maine Jibraeel alaihis salaam se daryaft kiya ke ye kaun log hain? Unho ne jawab diya ke ye Ap sallallahu alaihi wasallam ki Ummat ke Khateeb hain jo logon ko BHALAI ka hukm dete hain aur Apni Jaano ko bhool jaate hain. Aur ek Riwayat me yun hai ke Ap sallallahu alaihi wasallam ki Ummat ke Khateeb hain jo wo Baaten kehte hain jin par wo Khud Aamil nahi, aur Allah ki Kitab padhte hain aur Amal nahi karte
(Mishkaatul Masabeeh Safha 438)
3) Kuch Log Apne Seenon Ko Naakhunon Se Cheel Rahe The
Hazrat Anas Razi Allahu anhu se Riwayat hai ke Rasoolullah sallallahu alaihi wasallam ne Irshad farmaya ke Jis raat mujhe Meraj karai gayi mai aise Logon par guzra jin ke taambey ke Naakhun the wo Apne Chehron aur Seenon ko cheel rahe the, Maine kaha ke Aye Jibrael !ye kaun log hain? Unho ne jawab diya ke wo log hain jo Logon ke Gosht Khaate the (yani unki GHEEBAT karte hain) aur unki Be Aabrui karne me pade rehte hain.
(Abu Dawood, Mishkat 429)
4) Sood Khoron ki Bad Haali:
Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu anhu se Riwayat hai keh Rasoolullah sallallahu alaihi wasallam ne Irshad farmaya keh jis raat Mujhe sair karayi gayi mai aise logon par guzra jin ke pet itne bade bade the ( jaise insano ke rehne ke ) ghar hote hain un me saamp the jo baher se unke peton me Nazar aarahe the. Maine kaha keh Aye Jibraeel! Ye kaun log hain unho ne kaha ye sood khane wale hain.
(Mishkaatul Masabeeh safha 246)
5) Farishton ka Pachna lagane ke liye Takeed karna
Hazrat Abdullah Bin Masood Razi Allahu anhu se Riwayat hai keh Rasoolullah sallallahu alaihi wasallam ne Meraj ke safar me pesh aane wali jo baaten bayan farmayin un me ek ye baat bhi thi keh Ap farishton ki jis Jamat par bhi guzre, unho ne kaha keh Ap sallallahu alaihi wasallam apni Ummat ko Hijama yani pachna lagane (cupping therapy) ka Hukum dijye.
(Mishkatul masabeeh Safha 138 az Tirmizi o Ibne Majah)
Arab me Pachna lagane ka bhot riwaaj tha, us se zaaid Khoon aur Faasid Khoon Nikal jata hai, blood pressure ka marz jo aam hogaya hai us ka bhot acha ilaaj hai, logon ne use bilkul hi chord diya hai, Rasoolullah sallallahu alaihi wasallam apne sar me aur apne Mondon ke darmiyan pachna lagwate the. (Hawala e baala)
6) Mujahideen ka Sawaab
Hazrat Abu Huraira Razi Allahu Anhu ne bayan kiya keh Nabi Kareem sallallahu alaihi wasallam Jibraeel Alaihis salam ke sath chale to Ap sallallahu alaihi wasallam ka ek aisi Qaum par Guzar hua keh jo ek hi din me takhm rezi (beej bona) bhi karlete hain aur ek hi din me kaat bhi lete hain aur kaatne ke baad phir waisi hi hojati hai jaise pehle thi, Ap sallallahu alaihi wasallam ne Jibraeel alaihis salam se daryaft farmaya keh ye kaun log hain? Jibraeel alaihis salam ne kaha keh yeh log Allah ki raah me Jihad karne wale hain, in ki ek Neki saat sau gunaa (700 times) tak badha di jati hai aur yeh log jo kuch bhi kharch karte hain Allah Ta’ala us ka badl ata farmata hai.
7) Kuch Logon Ke Sar Patharon Se Kuchle Jaarahe The
Phir Aap ka ek aur qaum par guzar hua jin ke sar patharon se kuchle jaa rahe the, kuchle jaane ke baad phir waise hi hojate hain jaise pehle the, isi tarah silsila jari hai khatam nahi hota, Aap sallallahu alaihi wasallam ne poocha ye kaun log hain? Jibraeel alaihis salam ne kaha keh ye wo log hain jo Namaz se kaahili karne wale hain, sote hue reh jate hain.
8) Zakat Na Dene Walon Ki Badhaali
Phir ek aur Qaum par guzar hua keh jin ki sharmgahon par aage aur peeche cheethrde lipte hue hain, aur Oont aur bail ki tarah charte hain, aur Zaree’ (aag ke kaante) aur Zaqqoom (Dozakh ka badtareen badboodar darakht) yani kaante daar aur Khabees darakht aur jahannam ka pathar khaa rahe hain, Aap sallallahu alaihi wasallam ne poocha ye kaun log hain? Jibraeel alaihis salam ne kaha yeh wo log hain keh jo apne Maalon me ZAKAT nahi dete.
9) Sadaa Hua Gosht Khaane Waale Log
Phir Aap ka ek aisi qaum par guzar hua jin ke saamne ek handi me paka hua gosht hai aur ek handi me kachcha aur sada hua gosht rakha hai, yeh log sada hua gosht khaa rahe hain aur paka hua gosht nahi khaate, Aap sallallahu alaihi wasallam ne daryaft kiya yeh kaun log hain? Jibraeel alaihis salam ne kaha keh ye Aap sallallahu alaihi wasallam ki Ummat ka woh Shakhs hai keh jis ke paas Halaal aur Tayyib Aurat maujood hai magar wo ek Zaaniyah aur Faahishah Aurat ke sath shab baashi karta hai aur Subah tak usi ke paas rehta hai aur Aap sallallahu alaihi wasallam ki Ummat ki woh Aurat hai jo Halal aur Tayyib Shauhar ko chord kar kisi zaani aur badkaar ke sath raat guzarti hai.
10) Lakdiyon Ka Bada Gattha Uthane Wala
Phir ek shakhs par Aap sallallahu alaihi wasallam ka guzar hua jis ke paas lakdiyon ka bhot bada ghatar hai wo use utha nahi sakta (lekin) aur ziyada badhana chahta hai, Aap sallallahu alaihi wasallam ne daryaft farmaya keh ye kaun shakhs hai? Jibraeel alaihis salam ne bataya keh yeh woh Shakhs hai jis ke paas logon ki Amanaten hain, un ki adaaigi ki taaqat nahi rakhta aur mazeed Amanaton ka bojh apne sar lene ko tayyar hai.
11) Ek Bail Ka Chote Se Suraakh Me Dakhil Hone Ki Koshish Karna
Us ke baad aise suraakh par guzar hua jo chota sa tha us me se ek bada bail nikla bail chahta hai keh jahan se nikla hai phir usi me dakhil hojaye. Aap sallallahu alaihi wasallam ne sawal farmaya keh ye kaun log hain? Jibraeel alaihis salam ne kaha keh yeh woh Shakhs hai jo koi bada kalimah keh deta hai (jo Gunah ka kalimah hota hai) us par wo Naadim hota hai aur chahta hai keh us ko wapis karde phir wo uski taqat nahi rakhta.
12) Jannat Ki Khushboo
Phir Aap sallallahu alaihi wasallam ek aisi waadi par pohanche jahan khoob achi khushboo aarahi thi aur Mushk ki Khushboo thi aur aawaz bhi thi, Aap sallallahu alaihi wasallam ne farmaya: ye kya hai? Jibraeel alaihis salam ne kaha keh yeh Jannat ki aawaaz hai, wo keh rahi hai keh Aye mere Rabb! Jo log mere andar rehne wale hain wo laaiye aur apna Wa’dah poora farmayye.
13) Dozakh Ki Awaaz Sunna
Uske baad ek aur waadi par guzar hua wahaan saut e munkar yani aisi aawaz suni jo naagawar thi, Aap sallallahu alaihi wasallam ne farmaya: ye kya hai? Jibraeel alaihis salam ne jawab diya keh ye Jahannam hai, ye Allah Ta’ala ki baargaah me arz kar rahi hai keh jo log mere andar rehne wale hain un ko le aayye aur apna Wa’dah poora farmayye.
(Jamul Fawaid Jild 3 Safha 151 Taba’ Madeena Munawwara)
14) Ek Shaitan Ka Peeche Lagna
Moatta Imam Maalik me bariwayat Yahya Bin Sayeed (mursalan) naqal kiya hai keh jis raat Rasoolullah sallallahu alaihi wasallam ki sair karai gayi to Aap sallallahu alaihi wasallam ne Jinnaat me se ek Ifreet ko dekha jo aag ka shola liye hue aap ka peecha kar raha tha, Aap sallallahu alaihi wasallam jab bhi (daayen baayen) iltefaat farmate wo nazar pad jata tha, Jibraeel alaihis salam ne arz kiya: kya mai apko aise kalimaat na batadoon keh un ko aap sallallahu aliahi wasallam padh lenge to is ka sho’lah bujh jayega aur ye apne muh ke bal gir padega? Aap sallallahu alaihi wasallam ne farmaya ke haan batado us par jibraeel alaihis salam ne kaha ke ye kalimaat padhen.

أَعُوذُ بِوَجْهِ اللهِ الْكَرِيمِ وَبِكَلِمَاتِ اللهِ التَّامَّاتِ الَّتِي لاَ يُجَاوِزُهُنَّ بَرٌّ وَلاَ فَاجِرٌ مِنْ شَرِّ مَا يَنْزِلُ مِنَ السَّمَاءِ وَشَرِّ مَا يَعْرُجُ فِيهَا وَشَرِّ مَا ذَرَأَ فِي الْأَرْضِ، وَشَرِّ مَا يَخْرُجُ مِنْهَا وَمِنْ فِتَنِ اللَّيْلِ وَالنَّهَارِ. وَمِنْ طَوَارِقِ اللَّيْلِ إِلاَّ طَارِقٍ يَطْرُقُ بِخَيْرٍ يَا رَحْمَنُ.

Photos from ISLAM FOR ALL's post 05/03/2019
Ghair khaum se musabahat 25/12/2018

Al Quran : Isa Alaihi Salam ne kaha, Beshaq Allah hi mera aur tumhara RAB hai isliye usi ki bandagi karo
-------------------------------------------
Urdu Translation:

Jab farishton ne kaha Eh mariyam Allah tujhko ek betey ki apni taraf se basharat (khushkhabri) deta hai uska naam Maseeh Isa Ibn mariam hoga jo duniya aur aakhirat mein martabey wala hoga aur Allah ke muqarrabo (khas bando) mein se hoga
Aur jab wo Maa ki Gode mein hoga aur badi umar ka hoga to logon se baatein karega aur neiko mein se hoga
Mariyam ne kaha Eh mere RAB mujhe Beta kaisey hoga halanki mujhe kisi Aadmi ne haath tak nahi lagaya , farmaya isi tarah Allah jo chahey paida karta hai jab kisi kaam ka irada karta hai to usko yahi kahta hai ki ho ja to wo ho jata hai
Aur wo (Allah) unhey (Isa alaihi salam ko ) likhna ( parhna) aur danayee aur taurat aur Injeel (Gospel ) sikhayega
Aur unko (Isa alaihi salam) ko bani israeel ki taraf Rasool bana kar bhejega (aur wo kahengey ki) beshaq main tumhari RAB ki taraf se tumharey pass nishaniyan lekar aaya hu ki main mitti se ek parindey ki shakal bana deta hu phir usmein phoonk marta hu aur wo Allah ke hukm se udta hua jaanwar ho jata hai aur jo Maa ke pet se andhey aur kodi hotey hain unhey achcha kar deta hu aur main tumhey bata deta hu jo kuch tum khakar aao aur jo kuch apney gharon mein rakhkar aao ismein tumharey liye nishaniyan hai agar tum iman waley ho aur mujhse pahli kitab jo taurat ( The book of jews) hai uski tasdeeq karney wala hu taki tum par kuch cheezein halal kar du jo tum par haram thi aur tumharey pass tumharey rab ki taraf se nishani lekar aaya hu isliye Allah se daro aur mera kaha mano
Beshaq Allah hi mera aur tumhara RAB hai isliye usi ki bandagi karo yahi seedha raasta hai
{Al Quran, Surah Aal-e-Imran (3), Verse 45-51}

Al Quran : Aur hamarey RAB ki shaan buland hai na uski koi biwi hai aur na beta.
-----------------------------------------
Urdu Translation:
Al Quran : Aur hamarey RAB ki shaan buland hai na uski koi biwi hai aur na beta.
{Al Quran , Surah Al-Jinn (72), Verse 3}

Al Quran : ALLAH ki shaan nahi ki wo kisi ko beta banaye wo paak hai jab kisi kaam ka irada karta hai to sirf usey KUN ( ho ja) kahta hai phir wo ho jata hai
{Surah Maryam (19) , Verse 35}

Jews kahtey hain ki Uzair Allah ka beta hai , aur Isayee (chritians) kahtey hain ki Maseeh Allah ka beta hai , ye unkey munh ki baatein hain , wo (un) kafiron ki tarah baatein bananey lagey hain jo unsey pahley guzar chukey hain , Allah unhe halak karey ye kidhar ultey ja rahey hain

unhoney apney Aaalimon aur darwaison (monks) ko Allah ke siwa khuda bana liya hai aur Maseeh ibn maryam ko bhi , jabki unhey hukm ye tha ki Ek Allah ke siwa kisi ki Ibadat na karey , uskey siwa koi Maabud nahi , wo ( Allah) un logon ke sharik muqarrar karney se paak hai
{Al Quran , At-Taubah, Chapter #9, Verse #30-31}




Kah Do Eh Ahl-e-Kitab ( Jews and Christians) ek baat ki taraf aa jao jo hamarey aur tumharey Darmiyan barabar hai ki Allah ke siwaye aur kisi ki bandagi na karey aur kisi ko uska sharik na thahrayein aur Allah ke siwa koi kisi ko RAB na banaye agar wo phir jaye (na maney) to kah do Gawaah raho ki hum to (Allah ke) farmabarda hain.
AL Quraan, Aal-e-Imran, Chapter 3, Verse 64

Aur (Qayamat ke din) Jab Allah farmayega Eh Isa Maryam ke betey kya tuney logon se kaha tha ki khuda ke siwa mujhe aur meri Maa ko bhi khuda bana lo

wo kahengey ki tu paak hai mujhe layaq nahi aisee baat kahna jiska mujhe haq nahi, agar mainey ye kaha hoga to tujhe zaroor malum hoga , jo mere Dil mein hai tu janta hai aur jo tere Dil mein hai wo main nahi janta beshaq tu hi Gaib ki baaton ko janney wala hai

Mainey to unko uskey siwa kuch nahi kaha jiska tuney mujhe hukm diya tha ki Allah ki bandagi karo jo mera aur tumhara RAB hai aur jab tak main unmein raha Unki khabar rakhta raha aur jab tuney mujhe Duniya se utha liya to tu hi unka nigran (khabar rakhney wala) tha aur tu har cheez se khabardar hai

Agar tu unhey Azab de to wo tere hi bandey hain aur agar tu unhey maaf kar de to beshaq tu hi ghalib aur hikmat wala hai
Al Quran, Surah Al-Maeda (5), #116-118

Eh Ahl-e-Kitab tum apney deen mein Hadd se na niklo aur Allah ki shaan mein Haq ke siwa kuch na kaho beshaq Maseeh Isa Ibn Mariyam (Alaihi Salam) Allah ke Rasool hain Aur Allah ka ek kalma hai jisey Allah ne mariyam tak pahuchaya aur Allah ki taraf se ek jaan ( rooh) hain isliye Allah par aur uskey sab rasoolo par Imaan lao aur ye na kaho ki teen (3) Allah hain is baat ko chorh do ye tumharey liye behtar hoga Beshaq Allah akela Maabud hai wo is sey paak hai ki iski Aulad ho, isi ka hai jo kuch aasmano mein hai aur jo kuch zameen mein hai aur Allah kaarsaz kaafi hai
Al Quran Surah An-Nisa (4) , Verse 171

Hadis-e-Nabvi
Hazarath Musa Ashari se rivayat hai ki RasulAllah (S.A.W) ne irshad farmaya : Taklifdeh baat sunkar ALLAH TA AALA se Zyada Bardasht karne wala koi nahin,Mushrikin uske liye beta sabit karte hai aur phir b ALLAH unhe aafiyat deta hai aur rizq aata karta hai.
{Bukhari}

==========================================

Jo kisi qhaum kay sath mushabihat ikhtiyar kare woh unhi main se hai*.
RASOOL ALLAH (sallallaho aliehe wasallam)
(abu daud, H:4031)
*kuffar kay tehwar (christmas, new year wagera) manana sharyat main mana hai aur ghair muslimo se mushabihat ka zariya hai.

Lekin Yaad Rakhe
Kafiron K Tehwar
Christmas
Holi Dewali
Ko Acha Samjhna Iski Tazeem Me Mubarik Dena KUFUR Hai

(Fatawa-e-Razvia J14/P273)

Ek Christian Ne Eid Ul Fitar Josh O Jazbay Se Manayi ..

Ek Hindu Ne Eid Ul Adha Pe Bakra Qurbaan Kia ..

Ek Yahoodi Ne Ramzan Ka Roza Rakha ..
..
KYA AP NE KABHI AISA SUNA ?????????

Nahi Na ..

To Ye Kya Hai ??

Musalmano Ne Valentine Day Josh Se Manaya ..

New Year Manaya ..

Christmas Manaya ..

April Fool Manaya ..

Bassant Manayi ..

Raakhi Bandhan manaya ..

fathers day & mothers day manaya ...

Kitni Sharam Ki Baat Hai .. !!!!!!!!!!!!!!

Phir Hum (الله) Se Gila Karte Hain K Zalzale Aur Sailaab Hum Pe Q Aatey Hai ..??

(yaad rakhey inhe mubarakbaad dena bhi haram hai)....

Kya hum Biddath nahi kar rahe hain?

Kya hum Musalman hain ?

Kya hum Ummate Muhammadi [ SAL LAL LAHU ALAIHI WA SAL LAM ] hain ?

Zara sonchiye ..!!!!!!!!!

Ghair khaum se musabahat 25/12/2018

Kah Do Eh Ahl-e-Kitab ( Jews and Christians) ek baat ki taraf aa jao jo hamarey aur tumharey Darmiyan barabar hai ki Allah ke siwaye aur kisi ki bandagi na karey aur kisi ko uska sharik na thahrayein aur Allah ke siwa koi kisi ko RAB na banaye agar wo phir jaye (na maney) to kah do Gawaah raho ki hum to (Allah ke) farmabarda hain.
AL Quraan, Aal-e-Imran, Chapter 3, Verse 64

Aur (Qayamat ke din) Jab Allah farmayega Eh Isa Maryam ke betey kya tuney logon se kaha tha ki khuda ke siwa mujhe aur meri Maa ko bhi khuda bana lo

wo kahengey ki tu paak hai mujhe layaq nahi aisee baat kahna jiska mujhe haq nahi, agar mainey ye kaha hoga to tujhe zaroor malum hoga , jo mere Dil mein hai tu janta hai aur jo tere Dil mein hai wo main nahi janta beshaq tu hi Gaib ki baaton ko janney wala hai

Mainey to unko uskey siwa kuch nahi kaha jiska tuney mujhe hukm diya tha ki Allah ki bandagi karo jo mera aur tumhara RAB hai aur jab tak main unmein raha Unki khabar rakhta raha aur jab tuney mujhe Duniya se utha liya to tu hi unka nigran (khabar rakhney wala) tha aur tu har cheez se khabardar hai

Agar tu unhey Azab de to wo tere hi bandey hain aur agar tu unhey maaf kar de to beshaq tu hi ghalib aur hikmat wala hai
Al Quran, Surah Al-Maeda (5), #116-118

Eh Ahl-e-Kitab tum apney deen mein Hadd se na niklo aur Allah ki shaan mein Haq ke siwa kuch na kaho beshaq Maseeh Isa Ibn Mariyam (Alaihi Salam) Allah ke Rasool hain Aur Allah ka ek kalma hai jisey Allah ne mariyam tak pahuchaya aur Allah ki taraf se ek jaan ( rooh) hain isliye Allah par aur uskey sab rasoolo par Imaan lao aur ye na kaho ki teen (3) Allah hain is baat ko chorh do ye tumharey liye behtar hoga Beshaq Allah akela Maabud hai wo is sey paak hai ki iski Aulad ho, isi ka hai jo kuch aasmano mein hai aur jo kuch zameen mein hai aur Allah kaarsaz kaafi hai
Al Quran Surah An-Nisa (4) , Verse 171

Ek Christian Ne Eid Ul Fitar Josh O Jazbay Se Manayi ..

Ek Hindu Ne Eid Ul Adha Pe Bakra Qurbaan Kia ..

Ek Yahoodi Ne Ramzan Ka Roza Rakha ..
..
KYA AP NE KABHI AISA SUNA ?????????

Nahi Na ..

To Ye Kya Hai ??

Musalmano Ne Valentine Day Josh Se Manaya ..

New Year Manaya ..

Christmas Manaya ..

April Fool Manaya ..

Bassant Manayi ..

Raakhi Bandhan manaya ..

fathers day & mothers day manaya ...

Kitni Sharam Ki Baat Hai .. !!!!!!!!!!!!!!

Phir Hum (الله) Se Gila Karte Hain K Zalzale Aur Sailaab Hum Pe Q Aatey Hai ..??

(yaad rakhey inhe mubarakbaad dena bhi haram hai)....

Kya hum Biddath nahi kar rahe hain?

Kya hum Musalman hain ?

Kya hum Ummate Muhammadi [ SAL LAL LAHU ALAIHI WA SAL LAM ] hain ?

Zara sonchiye ..!!!!!!!!!

Ghair khaum se musabahat 25/12/2018

۞۩۩۞۩۩۞۩۩۞۩۩۞۩۩۞۩۩۞۩۩۞
۞ *•.¸.•* بِسْمِ اللهِ الْرَّحْمَنِ الْرَّحِيمِ •¸ ۞
۞ قُلْ هُوَ اللَّهُ أَحَدٌ ۞ اللَّهُ الصَّمَدُ ۞ لَمْ ۞
۞ يَلِدْ وَلَمْ يُولَدْ ۞ وَلَمْ يَكُن لَّهُ كُفُوًا أَحَدٌ ۞
۞ *•.¸.•**• صدق الله العظيم *•.¸.• ۞
.. ۞۩۩۞۩۩۞۩۩۞۩۩۞۩۩۞۩۩۞۩۩۞


English Translation

1) Say: He is Allah, the Monoreal!
2) Allah (the Monoreal) is Eternal.
3) The Monoreal does not take or give birth.
4) And there is none comparable to the Monoreal
=======================================
Urdu Translation

1) Kaho! Wo ALLAH hai yakta,
2) ALLAH sabse Beniyaaz hai aur sab uske
mohtaj hai,
3) Na uski koi Aulad hai aur na vo kisi ki
Aulad,
4) Aur koi uska humsafar nahi

=======================================

Hadis-e-Nabvi
Hazarath Musa Ashari se rivayat hai ki RasulAllah (S.A.W) ne irshad farmaya : Taklifdeh baat sunkar ALLAH TA AALA se Zyada Bardasht karne wala koi nahin,Mushrikin uske liye beta sabit karte hai aur phir b ALLAH unhe aafiyat deta hai aur rizq aata karta hai.
{Bukhari}

==========================================

Jo kisi qhaum kay sath mushabihat ikhtiyar kare woh unhi main se hai*.
RASOOL ALLAH (sallallaho aliehe wasallam)
(abu daud, H:4031)
*kuffar kay tehwar (christmas, new year wagera) manana sharyat main mana hai aur ghair muslimo se mushabihat ka zariya hai.

Lekin Yaad Rakhe
Kafiron K Tehwar
Christmas
Holi Dewali
Ko Acha Samjhna Iski Tazeem Me Mubarik Dena KUFUR Hai

(Fatawa-e-Razvia J14/P273)



PLz KEEP this Pic as ur profile picture till 25th december...

25 december tak is pic ko apni Profile picture rakhiye
JazakAllah khair :-)


25 DECEMBER KO SURAH-E-IKHLAS KASRAT SE PARHEN KEONKE CHRISTIAN AIK DOSRE KO WISH KARENGE KE ALLAH NE BETA JANA(NAUZUBILLAH) IS SURAH-E-IKHLAS MEIN FARMAYA GAYA HAI KE WOH(ALLAH) NA KISI KA BAAP AUR NA KISI KA BETA USKA KOI SHAREEK NAHI, SO PLZ IS BAAT PER KHUD BHI AMAL KEJEYE AUR DOSRE MUSLIMS TAK BHI ZAROOR PUHNCHADEN."




IN ENGLISH


On 25th December read SURAH IKHLAS as much as u can bcoz on that day christans use to wish themselves by saying merry christmas

When you are wishing someone 'Merry Christmas', without you realize, you are agreeing that God has a son and he (the Son of God) was born on 25th December. Astaghfirullah..

Saying God has a children is a Shirk (the greatest sin in Islam), as Allah says in the Qur'an: "Allah begets not, nor was He begotten" [Quran, 112: 3] so on that day plz read Surah IKHLAS as much as u can

JazakAllah khair :-)

Want your business to be the top-listed Government Service in Hyderabad?

Click here to claim your Sponsored Listing.

Location

Website

Address

Hyderabad

Opening Hours

Monday 7pm - 12pm
Tuesday 7pm - 12pm
Wednesday 7pm - 12pm
Thursday 7pm - 12pm
Friday 7pm - 12pm
Saturday 7pm - 12pm
Sunday 7pm - 12pm