🫂💚💪
AIMIM HAMED HYD
This page is not affiliated with any political parties; it is dedicated to expressing my support.
01/02/2026
Telangana Municipal Election: 2nd February (Monday) ko Sangareddy Town mein AIMIM ummeedwaaro'n ke haq mein dopahar 3 baje se Paidal Daura karunga, jabki shaam 6:00 baje se Madina X Road, Sangareddy mein Jalsa-e-Aam se khitab karunga.
Sangareddy ki awaam se guzarish hai ke wo zyada se zyada tadaad mein shirkat karke is Paidal Daura aur Jalsa ko kamyaab banayein.
01/02/2026
01/02/2026
Aaj 1st February ko Nalgonda District mein dopahar 3 baje se Basheer Bagh se Rahmat Nagar tak Paidal Daura karunga aur shaam me 6:30 baje se Ambedkar Chaurasta,
Beside Bhaskar Talkies (Nalgonda) mein Jalsa-e-Aam se khitab karunga.
Aap tamaam se guzarish hai ke zyada se zyada tadaad mein shirkat karke Paidal Daura wa Jalsa ko kamyaab banayein.
30/01/2026
Sadr-e-Majlis, Barrister Asaduddin Owaisi Sahab ne Telangana Hukumat ke Principal Secretary (MA & UD Department) aur Managing Director, Hyderabad Metro Rail Limited ko ek letter likh kar Halqa-e-Parlimaani Hyderabad mein aham taraqqiyati kaamo'n ko fauran shuru karne ka mutalba kiya hai.
Unhone apne letter mein wazeh taur par kaha ke Ranga Mahal se Bagga Wines aur MJ Market se Dar-ul-Salaam (Aghapura) tak B-91 sewerage Line (1200/1400 mm diameter RCC Pipe Line) bichhane ka kaam fauran shuru kiya jaaye, jiska kul kharch 57 crore 60 lakh hai.
Is aham kaam ko hukumat ne baqaida manzoori de di hai. InshaAllah! jald hi ye kaam shuru kar diya jaayega. Is sewerage line project ke mukammal hone se Khairatabad, Goshamahal aur Nampally ki awaam ko badi raahat milegi.
Is taraqqiyati kaam ke shuru hone se na sirf shahar ke bunyadi dhanche ko behtar banaya ja sakega, balki barish ke mausam mein paani jama hone (waterlogging) ka masla bhi kafi hadd tak door ho jayega, Jisse awaam ko pareshani ka samna nahi karna padega.
Click here to claim your Sponsored Listing.
Location
Category
Website
Address
Hyderabad
