06/05/2026
Hazrat Khwaja Haafiz Sayyed Muhammad Ali Shaah Khairabadi rahmatullāhi alaihi :
♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦
Alqaab :
‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾
Shaikh-u-Islaam, Sultaan-ul-Masha'ikh.
****************
Aap ki wilaadat 1192 Hijri (1778 A.D.) me hui.
Aap Hasani saadaat hain.
Aur Hazrat Ghauṡ e aazam Abdul Qaadir Jeelaani radiy-Allāhu anhu ki nasl se hain.
****************
Bachpan me hi Aap Haafiz e Qur’an hue.
Phir Khairabad me majeed ta’aleem haasil ki.
Phir Shahjahanabad (Delhi) jaakar ta’aleem haasil ki.
Phir Haramain Shareefain (Makkah mukkarama aur Madeena munnawara) me ta’aleem haasil karne me aur ibaadat me 10 saal guzaare.
****************
Peer ke farmaan par Aap ne Khairabad me apni khaanqaah taamir ki aur logo ko ta’aleem aur faiz ata farmaate rahe.
Aap Aalime ba-amal the aur bemiṡaal shama e ilm the. Hazaaro logo ne Aap ke zariye hidaayat paai.
****************
Aap Hazrat Khwaja Shaah Sulaimān Taunsawi rahmatullāhi alaihi ke mureed aur khalifa hain.
Aur ‘Chishti Sulaimāni’ silsila ke Shaikh hain.
Aap ke khulfa :
(1) Hazrat Khwaja Peer Habeeb Ali Shaah rahmatullāhi alaihi (Katalmandi, Hyderabad)
(2) Hazrat Sardaar Beg rahmatullāhi alaihi (Aga Pura, Hyderabad),
(3) Hazrat Hasan-uz-zamaan rahmatullāhi alaihi (Yakutpura, Hyderabad).
****************
Aap ka wisaal 19 Zil Qa’ada 1266 Hijri (September 1850 A.D.) ko 71 saal ki umr me hua.
Aap ka mazaar Khairabad (Uttar Pradesh) me hai.
****************
ALLĀH ta’ala us ke Habeeb sallallāhu alaihi wa sallam ke sadqe me
Aur Hazrat Khwaja Haafiz Sayyed Mohammad Ali Shaah Khairabadi rahmatullāhi alaihi aur tamaam Auliya Allāh aur Ahle bait ke waseele se
Sab ko mukammal ishq e Rasool ata farmae aur Sab ke Eimaan ki hifaazat farmae aur Sab ko nek amal karne ki taufiq ata farmae.
Aur Sab ko dunya wa aakhirat me kaamyaabi ata farmae aur Sab ki nek jaa'iz muraado ko puri farmae.
Aameen.
06/05/2026
Hazrat M***i Muhammad Yousuf Firangi mahali rahmatullāhi alaihi :
♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦
Aap ki wilaadat 9 Rajab 1223 Hijri (1808 A.D.) me hui.
****************
Aap ke waalid ka naam M***i Muhammad Asghar bin M***i Abdur Raheem rahmatullāhi alaihi hai.
Aap ke aaba wa ajdaad apne waqt ke jayyad aalim e deen aur masha'ikh the.
****************
Aap ne akṡar ta’aleem apne waalide maajid se haasil ki.
Kuchh kitaaben Maulana M***i Muhammad Zahoorullāh, Maulana Ahmad Anwaar-ul-Haq aur apne bhai Maulana Noorullāh se padhi.
****************
Aap jaame furoo'a wa usool aur ma’aqool wa manqool aur saahibe riyazat wa mujaahida the.
Apne waalid ke inteqaal ke baad Lucknow ki Adaalat e Deewaani aur Ifta ki zimmedaari ada karte rahe.
Aap Madrasa Alhaaj Imaam bakhsh, Jaunpur me Mudarris the. Din raat talba ki ta’aleem me mashgool rehte the.
Akṡar ulama e Firangi mahali ka silsila e talaamiz aap se waabasta hai. Aap ke shaagird me Hazrat Abdul Aleem Aasi mash'hoor hain.
Phir Hyderabad hote hue Sha’abaan 1286 Hijri (November 1869 A.D.) me Madeena munawwara tashreef laaye.
****************
Tasannif :
‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾
Aap ki likhi hui mash'hoor kitaaben :
(1) Ta’aleeqaat Saheeh Bukhari,
(2) Ta’aleeqaat Tafseer Baidaawi,
(3) Hawaashi Sharh Muslim Mulla Hasan,
(4) Sharh Sullam Qaazi Mubarak,
(5) Hawaashi Sharh Shams Baazigh,
(6) Hawaashi Sharh Waqaaya.
****************
Aap Hazrat Maulana Ahmad Anwaar-ul-Haq rahmatullāhi alaihi ke mureed hsin.
****************
Aap ka wisaal 19 Zil Qa’ada 1286 Hijri (February 1870 A.D.) ko hua.
****************
Aap ka mazaar Jannatul Baqi, Madeena munawwara me hai.
****************
ALLĀH ta’ala us ke Habeeb sallallāhu alaihi wa sallam ke sadqe me
Aur Hazrat M***i Muhammad Yousuf Firangi mahali rahmatullāhi alaihi aur tamaam Auliya Allāh ke waseele se
Sab ko mukammal ishqe Rasool ata farmae aur Sab ke Eimaan ki hifaazat farmae aur Sab ko ikhlaas ke saath nek amal karne ki taufiq ata farmae.
Aur Sab ko dunya wa aakhirat me kaamyaabi ata farmae aur Sab ki nek jaa'iz muraado ko puri farmae.
Aameen.
06/05/2026
Hazrat Soofi Abdullāh Husaini Qaadri Shattaari rahmatullāhi alaihi :
♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦
Aap ke waalid Hazrat Hafiz Muhammad Ali Shaah Abbasi Bijapur ki Jaama masjid ke Imaam wa mutawalli the.
Aap ke pardaada Sultaan Ali Aadil Shaah Awwal ke zamaane me Bijapur tashreef laaye the.
***************
18 saal ki umr me Aap Hazrat Soofi Sarmast Ali Shaah Qalandar rahmatullāhi alaihi ke mureed hue aur 12 saal tak Hazrat ki khidmat me rehkar ta’aleem wa faiz haasil kiya aur khilaafat haasil ki.
***************
Aap Hazrat Soofi Sarmast Ali Shaah Qalandar rahmatullāhi alaihi ke mureed aur khalifa hain.
Aap ke khalifa Hazrat Soofi Sayyed Ghafoor Shaah Husaini Shattaari rahmatullāhi alaihi hain.
***************
Aap ka wisaal 11 Zil Qa’ada 1333 Hijri (20 September 1915 A.D.) ko hua.
***************
Aap ka mazaar Bijapur (Karnataka) me Hazrat Shaah Sayyed Hamza Husaini rahmatullāhi alaihi ki dargaah ke ihaate me hai.
****************
ALLĀH ta’ala us ke Habeeb sallallāhu alaihi wa sallam ke sadqe me
Aur Hazrat Soofi Abdullāh Husaini Qaadri Shattaari rahmatullāhi alaihi aur tamaam Auliya Allāh ke waseele se
Sab ke Eimaan ki hifaazat farmae aur Sab ko mukammal ishqe Rasool ata farmae aur Sab ko ikhlaas ke saath nek amal karne ki taufiq ata farmae.
Aur Sab ko duniya wa aakhirat me kaamyaabi ata farmae aur Sab ki nek jaa'iz muraado ko puri farmae.
Aameen.
06/05/2026
Hazrat Makhdoom Shaah Aarif Safi Muhammadi rahmatullāhi alaihi :
♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦
Laqab :
‾‾‾‾‾‾‾
Sultaan-ul-Aarifeen.
****************
Aap ki wilaadat 1278 Hijri (1861 A.D.) me Saiyed Sarawan (Zila Allahabad, Uttar Pradesh) me hui.
****************
Aap ke waalid ka naam Shaikh Waariṡ Ali aur waalida ka naam Sayyeda Azeem-un-nisa hai.
Aap Hazrat Uṡmaan Ghani radiy-Allāhu ta’ala anhu ki nasl se hain.
Aap ke pardaada Shaikh Baha-ud-deen Uṡmaani Ghazni se Hindustan aaye the.
****************
Bachpan hi se Aap umda akhlaaq aur aadato se muzayyan the jis me raham dili, sanjeedgi aur inkasaari khaas the. Hamesha waalidaain ki ita’at aur asaatiza ka adab o ehtaraam karte. Kamzor talba ko sabaq samjhate aur yaad karate. Jo log aap se bughz o hasad rakhte the un se bhi achha sulook karte aur zaroorat padne par madad farmaate. Ghurba ki imdaad karte.
****************
Ibtidaai ta’aleem ghar ke buzurgo se haasil karne ke ba’ad Maulana Sayyed Abu miyan aur Maulana Manzoo Husain se ta’aleem haasil ki. aur 16 saal umr me faarigh hue.
****************
Ta’aleem ke ba’ad waalide maajid ne zameen-daari ke kaamo me lagaana haha lekin Aap ko is me dilchaspi nahi thi. Chunanche Aap mulaazimat [naukri] ke liye Barabanki tashreef laaye.
EK martaba Aap Bai'at ke liye Hazrat Sayyed Haaji Waariṡ Ali Shaah rahmatullāhi alaihi ki khidmat me haazir hue to Hazrat ne sar jhukaaya aur kuchh der ba’ad farmaaya “Maalik anqareeb aap ko buland martba par faaiz farmaane waala hai. Albatta aap ka hissa mere paas nahi balke Hazrat Shaah Abdul Ghafoor ke paas hai.”
Aap usi maah ki 11wi shab ko Barabanki ke Mohalla Rasoolpur me Hazrat Makhdoom Qaazi Shaah Abdul Ghafoor Barabanki rahmatullāhi alaihi khidmat me haazir hue. Hazrat ki iqtida me namaaze isha ada ki. Hazrat ne 11wi ki mehfil muna’aqid ki thi jis me shareek hokar fajr tak faiz haasil karte rahe. Namaaze fajr Hazrat ki iqtida me ada ki. Phir apne maqaam waapas tashreef laaye.
Phir ek din Aap ne ghusl kiya aur sheerni lekar Hazrat khidmat me haazir hue aur Bai'at ki.
Aap faraaize masabi mukammal karke Peer o murshid ki khidmat me haazir hote rhe aur Hazrat ki ta’aleem ke mutaabiq riyazat wa mujaahida karte rahe. 11 Ramazaan 1298 Hijri (7 August 1881 A.D.) ko 20 saal ki umr me Hazrat ne Aap ko khilaafat aur ijaazat ata farmai aur ‘Shaah Aarif Safi’ laqab ata farmaaya.
Phir Peer o murshid ke farmaan par Aap Barabanki se Ajodhya tashreef laaye aur mujaahida wa riyazat me mashgool ho gaye. Aap ki waalida Aap ki judai me bahot parshaaan ho g*i. Aap ke naana jaan aap ki waalida ke saath Hazrat ki khidmat me haazir hue aur soorate haal arz ki. Hazrat ne Aap ko watan waapas jaane ki ijaazat ata farmai.
Aap Saiyed Sarawan waapas aaye aur Hazrat Sayyed-us-Saadaat Muhammad Haqqaani Suharwardi rahmatullāhi alaihi ke mazaar mubarak ke paas qayaam pazeer hue. Din me ek dafa waalida maajida ki ziyarat ke liye tashreef laate.
Is ke ba’ad Aap khaanqaah qaa'im karke logo ko ta’aleem wa faiz ata farmaate rahe. Beshumaar logo ne aap ke zariye hidayat paai. Hazaaro log islaam me daakhil hue, gunaahgaaro ne tauba ki.
****************
Ek martaba Hazrat Makhdoom Qaazi Shaah Abdul Ghafoor Barabanki rahmatullāhi alaihi ne Aap ko ittala farmai ke “Falaan taarikh ko hum urs ke mauqe par Safipur jaa rahe hain, aap bhi waha aa jaate to achha rehta.” Aap muqarrar taarikh ko Safipur pahunche. Hazrat Aap ko humraah lekar Hazrat Makdoom Shaah Muhammad Khaadim Safi Muhammadi rahmatullāhi alaihi ke aastaane par haazir hue. Hazrat deegar hazraat ke saath roza shareef ke andar daakhil hue. Lekin Aap ba-adab baahar khade rahe. Jab Hazrat baahar tashreef laaye to Aap se mukhaatib hokar farmaaya “Maashaa Allāh Maashaa Allāh! Aap ko Sarkaar ki baargaah se ‘Laahooti’ aur ‘Mehboobe ilāhi Gesu daraaz’ ke alqaab ata hue hain.”
Ek martaba Aap ke Peer o murshid ne farmaaya ke “Aarif Safi ka haath ain mera haath hai.”
****************
Tasannif :
‾‾‾‾‾‾‾‾
Aap ki likhi hui mash'hoor kitaaben :
(1) Maṡnwi Ma’arifat (Faarsi)
(2) Ganzeena e Asraar (Faarsi)
(3) Mir'aatul Asraar (Urdu)
(4) Deewaane Aarif (Faarsi, Urdu, Hindi)
****************
Aqwaal :
‾‾‾‾‾‾‾‾
Aap irshaad farmaate hain :
(1) Huzoor Nabi e kareem sallallāhu alaihi wa sallam ki Aal aur As'haab ke awsaaf Qur'ān kareem me maujood hain. Huzoor Nabi e kareem sallallāhu alaihi wa sallam ne unse dosti rakhne waale ko apna dost aur unse dushmani rakhne wale ko apna dushman bataaya hai. Jis ke dil me inki mohabbat nahi woh bad-naseeb aur jahannami hai.
(2) Jo shakhs ALLĀH ki raza-mandi chahta hai use sab se pehle apni maan ki khidmat karni chahiye. Waalidain ki khidmat ko tark karna yeh ALLĀH ta’ala ke qaher ka sabab hota hai.
(3) Mashaikh awwalan ahkaame shariat par amal karte hain aur phir tareeqat par qaa'im hote hain. Jo ulama ya fuqara be-amal ho unki sohbat se door rehna chahiye.
(4) Khud-pasandi aur khud-numai ye ahle deen ka tareeqa nahi balke mal'oon logo ka tareeqa hai. Ghuroor karna shaitaani kaam hai, insaan ka kaam aajizi aur inkisaari karna hai.
(5) Taalibe aakhirat dunyawi lazzato ke pichhe nahi padte, aakhirat ke maze aur lazzaten dunyawi lazzto se bahot aala o afzal hain.
(6) Maal o daulat ki taraf mutawajjeh na ho, Razzaqe aalameen par nigaah rakhen. Hirs ke fande se aazaad rahen.
(7) Dusro ki haajat rawai karna lekin apni haajat dusro ke saamne pesh na karna.
(8 ) Khirqa e durweshi ALLĀH ke shero ka libaas hai. Jo shakhs ise pahenta hai use ALLĀH ta’ala ka khauf rakhna chahiye, ek tukda roti ke liye dar ba-dar hokar usko zaleel na karna chahiye. Ise pahenkar marde khuda banna chahiye na ke taalibe dunya.
****************
Aap ke 2 saahabazaade hain:
(1) Mohtasib-ul-Aarifeen Shaah Niyaaz Ahmad urf Safiullāh Muhammadi (Sajjaada nasheen)
(2) Hujjat-ul-Aarifeen Shaah Ahmad Safi Khaadim Muhammad.
****************
Bai'at wa Khilaafat :
‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾
Aap Hazrat Makhdoom Qaazi Shaah Abdul Ghafoor Barabanki rahmatullāhi alaihi ke mureed aur khalifa hain.
Aap ke khulfa :
(1) (Aap ke saahabazaade) Hazrat Mohtasib-ul-Aarifeen Makhdoom Shaah Niyaaz Ahmad urf Safiullāh Muhammadi rahmatullāhi alaihi
(2) Hazrat Sayyed Shaah Abdul Lateef urf Shaah Zahoorullāh Muhammadi rahmatullāhi alaihi
(3) Hazrat Maulana Sayyed Muhammad Ameen Bukhari urf Shaah Ne'amatullāh Muhammadi rahmatullāhi alaihi
(4) Hazrat Abdul Ali urf Shaah Aleemullāh Muhammadi rahmatullāhi alaihi
(5) Hazrat Khan Bahadur Haafiz Muhiy-ud-deen Siddeeqi Muhammadi rahmatullāhi alaihi
(6) Hazrat Sayyed Rahmat Ali urf Shaah Hujjatullāh Muhammadi rahmatullāhi alaihi
(7) Hazrat Soofi Basheer-ud-deen urf Shaah Basheerullāh Muhammadi rahmatullāhi alaihi.
****************
Aap ka wisaal 18 Zil Qa’ada 1320 Hijri (16 February 1903 A.D.) ko baroz Mangal 42 saal ki umr me hua.
****************
Aap ka mazaar Saiyed Sarawan (Uttar Pradesh) me hai.
****************
ALLĀH ta’ala us ke Habeeb sallallāhu alaihi wa sallam ke sadqe me
Aur Hazrat Makhdoom Shaah Aarif Safi Muhammadi rahmatullāhi alaihi aur tamaam Auliya Allāh ke waseele se
Sab ko mukammal ishqe Rasool ata farmae aur Sab ke Eimaan ki hifaazat farmae aur Sab ko ikhlaas ke saath nek amal karne ki taufiq ata farmae.
Aur Sab ko duniya wa aakhirat me kaamyaabi ata farmae aur Sab ki nek jaa'iz muraado ko puri farmae.
Aameen.
05/05/2026
Hazrat Khwaja Sayyed Shaah Hasan Khateeb Chishti rahmatullāhi alaihi :
♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦
Aap Hazrat Khwaja Sayyed Nizaam-ud-deen Auliya rahmatullāhi alaihi ke mureed aur khalifa hain.
Aur ‘Chishti Nizaami’ silsila ke Shaikh hain.
Aap ne Hazrat Shaikh Eisā Jundullāh Jaunpuri rahmatullāhi alaihi se bhi faiz haasil kiya.
Aap ke khalifa Hazrat Baha-ud-deen Chishti rahmatullāhi alaihi hain.
****************
Aap ‘Hazrat Shaah baaba’ ke naam se mash'hoor hain.
Aap apne zamaane ke mash'hoor Waa'iz aur Muqarrir the. Is liye Aap ‘Khateeb’ ke laqab se mash'hoor hain.
****************
Aap ke 2 saahabzaade hain :
(1) Ahmad Noor,
(2) Muhammad Noor.
****************
Aap ka wisaal 17 Zil Qa’ada 764 Hijri (28 Auagust 1363 A.D.) ko hua.
****************
Aap ka mazaar Dholka (Gujarat) me hai.
****************
ALLĀH ta’ala us ke Habeeb sallallāhu alaihi wa sallam ke sadqe me
Aur Hazrat Khwaja Sayyed Shaah Hasan Khateeb Chishti rahmatullāhi alaihi aur tamaam Auliya Allāh aur Ahle bait ke waseele se
Sab ko mukammal ishqe Rasool ata farmae aur Sab ke Eimaan ki hifaazat farmae aur Sab ko ikhlaas ke saath nek amal karne ki taufiq ata farmae.
Aur Sab ko dunya wa aakhirat me kaamyaabi ata farmae aur Sab ki nek jaa'iz muraado ko puri farmae.
Aameen.
05/05/2026
Hazrat Khwaja Peer Muhammad Qaasim Saadiq Naqshbandi rahmatullāhi alaihi :
♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦
Alqaab :
‾‾‾‾‾‾‾
Qutb-ul-Mashriq, Baaba Jee Sarkaar.
****************
Aap ki wilaadat 1237 Hijri (1822 A.D.) me hui.
****************
Aap ke pardaada Iran se Rawalpindi tashreef laaye.
****************
Bachpan se hi Aap me narmi, khush-mijaazi, sabr o hilm, aur hikmat maujood the.
Watan me ibtidaai ta’aleem haasil karne ke ba’ad mukhtalif idaaro me fiq'h aur deegar uloom ki ta’aleem haasil ki.
20 saal ki umr me faraaghat ke ba’ad Aap ne ta’aleem wa tadrees shuru ki. Saath me mujaahida aur riyazat bhi karte rahe.
Phir Aap ne Baba Fazal Shaah Qalandar Kalyami se baatini ta’aleem haasil ki. Hazrat ne Aap ko sukhe phool ata farmaaye aur farmaaya “Jaha par ye phool khil uthe waha tumhe tumhare peer milenege.”
Phir Aap paidal safar karte hue Hazrat Khwaja Nizaam-ud-deen Kahiyanwi rahmatullāhi alaihi (Kashmir) ki khidmat me pahunche aur bai'at ki. Hazrat ne nazre tawajjoh se Aap ko sulook ki saari manzile tay kara di. Phir Hazrat ne Aap ko chaaro silsile ki khilaafat ata farmai aur Mohra, Murree me Chilla kashi karne ke liye farmaaya.
Is ke ba’ad Aap ne isha’at e islaam shuru ki. Aap ki ta’aleem wa faiz se Kashmir me hazaaro ghair-muslim ne islaam apnaaya.
****************
Aap roz tahajjud, ishraaq, chaasht aur awwabeen ki namaaz ada farmaate aur raat me 1000 rak'at nafl namaaz padhte.
Aap aakhri umr me zaeefi ke ba-wajood tamaam farz namaaz waqt par ada farmaate the.
Aap mureedo ko paabandi se namaaz ada karne ke liye aur kaṡrat se Isme Zaat [Allahu] aur Nafi Asbaat [Kalma e Tayyba] ka zikr karne ke liye farmaate.
****************
Apne wisaal se do hafte pehle Aap ne apne pariwaar aur khulfa ko bulakar naseehaten farmai aur farmaaya ke “Khaanqaah me aane waale har shakhs se narmi aur shafqat ke saath sulook karna aur sab ko madad karna aur apne dil me kabhi bhi ta’asub aur hasad na rakhna.” Phir Hazrat Peer Muhammad Zaahid Khan rahmatullāhi alaihi ko apni dastaar pehnai aur apna jan- nasheen banaaya.
****************
Aap Hazrat Khwaja Nizaam-ud-deen Kahiyanwi rahmatullāhi alaihi ke mureed aur khalifa hain.
Aap se ‘Naqshbandi Mujaddidi Qaasimi’ silsila jaari hai.
Aap ke khulfa :
(1) (Aap ke saahabzaade) Hazrat Peer Muhammad Zaahid Khan rahmatullāhi alaihi
(2) (Aap ke saahabzaade) Hazrat Peer Nazeer Ahmad rahmatullāhi alaihi
(3) Hazrat Peer Sayyed Mustafā Sibghatullāh Shaah Irani rahmatullāhi alaihi (Hyderabad / Pakistan)
(4) Hazrat Peer Ghulaam Muhiy-ud-deen rahmatullāhi alaihi.
****************
Aap ka wisaal 17 Zil Qa’ada 1362 Hijri (20 November 1943 A.D.) ko hua.
Aap ke janaaza me itni kaṡeer ta’adaad me log shareek hue ke namaaze janaaza 3 baar padhai g*i.
****************
Aap ka mazaar Mohra (Punjab / Pakistan) me hai.
****************
ALLĀH ta’ala us ke Habeeb sallallāhu alaihi wa sallam ke sadqe me
Aur Hazrat Khwaja Peer Muhammad Qaasim Saadiq Naqshbandi Baaba Jee Sarkaar rahmatullāhi alaihi aur tamaam Auliya Allāh ke waseele se
Sab ko mukammal ishqe Rasool ata farmae aur Sab ke Eimaan ki hifaazat farmae aur Sab ko ikhlaas ke saath nek amal karne ki taufiq ata farmae.
Aur Sab ko duniya wa aakhirat me kaamyaabi ata farmae aur Sab ki nek jaa'iz muraado ko puri farmae.
Aameen.
04/05/2026
Hazrat Shaah Abdul Lateef urfe Daawal Shaah Peer rahmatullāhi alaihi :
♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦
Laqab :
‾‾‾‾‾‾‾
Daawar-ul-Mulk.
****************
Aap ki wilaadat Ahmedabad (Gujarat) me hui.
****************
Aap ke waalid ka naam Malik Mahmood Qureshi hai jo Sultaan Mahmood Begda ke umra me se the.
****************
Aap Hazrat Shaahe aalam Sayyed Siraaj-ud-deen Muhammad rahmatullāhi alaihi ke mureed aur khalifa hain.
****************
Aap Hazrat Shaahe aalam ke liye wuzu ke liye paani ka intazaam karte the. Is liye ‘Tattahiri’ ka laqab mila hai.
Ek martaba Hazrat Shaah e aalam ne namaaze Tahajjud ada karne ke liye jaage aur Aap se wuzu ke liye garm paani maanga. Aap ne baahar aakar dekha to sigdi me aag bujh g*i thi. Aap Khaanqaah (Rasoolabad) se Ahmedabad shaher me aaye. Magar kisi bhi ghar ka darwaaza khula nahi tha. Aakhir me ek tawaayaf ka ghar khula dekha to Aap ne jaakar us se aag maangi. Us tawaayaf ne kaha “Aankh mile to aag jale.” Aap ne apni kamar se chhoori nikaali aur apni ek aankh nikaalkar us tawaayaf ke haath me rakh di. Yeh dekhkar woh tawaayaf dar g*i aur muafi maangne lagi.
Aap aag lekar aaye aur paani garm karke Peer saahab ko diya. Aap ki aankh par patti dekhkar Hazrat ne puchha “Malik Abdul Lateef Tattahiri! Kya tumhari aankh aai hai?” Aap ne arz kiya “Huzoor! Aap ki dua se aankh aai hai.” Hazrat ko jab saari baat ka pata chala to Aap khush hue aur farmaaya “Tum imtihaan me kaamyaab hue.”
Phir Hazrat Shaahe aalam Aap ko apna wakeel banaakar khud ibaadat wa riyaazat me lag gaye.
Hazrat Shaahe aalam ki dua se ALLĀH ta’ala ne Aap ki zabaan me aisa kamaal ata farmaaya ke jo bhi Aap ki baargaah me aata faiz paata aur muraad haasil karke jaata.
****************
877 Hijri (1472 A.D.) me Sultaan Mahmood Begda ne Raa Maandlik ko harakar Junagadh fatah kiya aur phir Sambodhara fatah kiya. Phir Kutch aur Sindh ke raajao ne bhi Sultaan ki taabedaari qubool ki.
Phir Sutaan ne Aap ko ek lashkar ke saath Amaran fatah karne ke liye bheja.
Aap jab k***h kar rahe the tab Morbi ke qareeb Pachasar gaanv me raaste me ek oontani murda padi thi. Jab Aap ke saathiyo ne arz kiya ke “Huzoor! Murda oontani raaste me padi hai. Is liye aage jaane ka raasta band hai.” Aap ne oontani ke paas jaakar use lakdi maarkar farmaaya “Khuda ke hukm se uth jaa aur tere bacho ko doodh pila aur hume raasta de de.” ALLĀH ta’ala ke fazl se woh oontani foran zinda hokar chali g*i.
Ek charwaahe ne ye sab dekh liya aur Amaran ke raaja Deda Tamaachi ko bataaya. Us ne foran Aap ki khidmat me aakar Aap ki taabedaari qubool ki aur jizya dene ke liye tayyaar hua. Phir Aap ne waha Shaahi chhaavni ta’ameer ki.
Sultaan Muhammad Begda ne Aap ko Amaran ki jaagir ata ki.
Aap wahi rehkar ibaadat wa riyaazat karne lage.
Aas paas ke Raaja, Thakur aur Nawaab bhi Aap ki khidmat me aate the.
Aap sab logo ke saath Husne sulook se pesh aate.
****************
Ek martaba Girnar (Junagadh) se kuchh Saadhu Aap ki baargaah me aaye aur kaha “Hum ne Aap ki karaamato ke baare me suna hai. Hamari khwaahish hai ke Aap hum sab ko khwaahish ke mutaabiq khaana khilaao.”
Aap un sab ko nadi ke maidaan me le gaye aur farmaaya “Sab apne apne kista ko dhaank do aur jo bhi khaane ki khwaahish ho woh dil me kaho.” Phir Aap ne Hazrat Shaah e aalam ke waseele se ALLĀH ta’ala se dua ki ke “Ya Ilāhi! Mujhe in saadhuo ke aage sharminda mat karna.”
ALLĀH ta’ala ke fazl se un saadhuo ko apni apni khwaahish ke mutaabiq khaana mil gaya. Khaana khaakar unho ne doodh dahi maanga. Aap un sab ko saath lekar nadi ke b**h me aaye aur apna asaa paani me rakhkar farmaaya “Maai doodh de.” ALLĀH ta’ala ke fazl se Aap ke asaa me se ek taraf se doodh aur dusri taraf se dahi nikalna shuru ho gaya. Is ke baad un saadhuo ne paani maanga to Aap ne lakdi hataakar paani pilaaya.
Ye sab dekhkar wo sab Aap ki rif'at ko maan gaye aur apni jholi me se Sindoor ki pudiya nikaalkar di aur bator nishaani rakhne ke liye guzaarish ki.
****************
Ek martaba Aap Bhuj (Kutch) ki taraf safar kar rahe the. 3 din ba’ad Aap ne sehra ko paar karke ek maqaam par qayam kiya aur ek saayadaar darakht ke neeche aaraam farmaaya.
Jab Aap ki aankh khuli to dekha ke Sipaahiyo ke ghode kisi ke khet me char rahe hain. Aap ne sipaahiyo ko bulakar farmaaya ke “Dosto! Khuda se nahi darte ke ghodo ko khet me charne ke liye bhej diya hai.” Un logo ne kaha “3 din se hum log aur ye ghode bhuke hain. Hum log to sabr kar sakte hain magar ye to jaanwar hain.”
Aap ne irshaad farmaaya ke “Agar tumhara Sabr kahalis ALLĀH ke liye hai to yaqeenan jaanwar bhi tumhari pairwi karenge.” Yeh kehkar Aap ne apne ghode ki lagaam apni taraf khinchi. Ghoda khada ho gaya aur charne se baaz raha.
****************
Kuchh saal ba’ad Deda Tamaachi ke ek rishtedaar ne Aap ko haraane ke liye apne khaandaan ke logo aur Dhamalpur (Dhrol) ke aur dusre Thakur Raajao ko jama kiye.
Phir Aap ke ek sipaahi ko laalach dekar Aap ke paas bheja. Us sipaahi ne Aap ko apni talwaar dikhaane ke liye kaha. Jaise hi Aap ne talwaar baahar nikaali us sipaahi ne Aap ki talwaar lekar Aap ki gardan par waar kiya. Deda ke lashkar ke sipaahi bhi aa gaye. Aap ne shadeed zakhmi hone ke ba-wajood us talwaar ko chhinkar sipaahiyo par hamla kiya aur bahot saare kaafiro ko qatl kar diya. Aakhir me Aap shaheed ho gaye. Aap ke saathi bhi waha aa pahunche aur jung karke kai kaafiro ko qatl kiya aur baaqi kuffaar waha se bhaag gaye.
Aap ne Sultaan Muhammad Begda ko khwaab me bashaarat dekar tamaam qissa bayaan kiya aur farmaaya ke “Mujhe dhoke se shaheed kar diya gaya hai.”
****************
Aap ka wisaal 13 Zil Qa’ada 915 Hijri (February 1510 A.D.) ko Jum’aa ke roz hua.
****************
Aap ka mazaar Amaran (Jamnagar, Gujarat) me hai.
****************
ALLĀH ta’ala us ke Habeeb sallallāhu alaihi wa sallam ke sadqe me
Aur Hazrat Shaah Abdul Lateef Daawal Shaah Peer rahmatullāhi alaihi aur tamaam Auliya Allāh ke waseele se
Sab ko mukammal ishqe Rasool ata farmae aur Sab ke Eimaan ki hifaazat farmae aur Sab ko ikhlaas ke saath nek amal karne ki taufiq ata farmae.
Aur Sab ko dunya wa aakhirat me kaamyaabi ata farmae aur Sab ki nek jaa'iz muraado ko puri farmae.
Aameen.
04/05/2026
Hazrat Sayyed Abu Saaleh Moosā Jangi-dost rahmatullāhi alaihi :
♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦
Aap ki wilaadat 27 Rajab 400 Hijri (March 1010 A.D.) ko Jilan (Iran) me hui.
********************
Aap ke waalid ka naam Hazrat Sayyed Abdullāh Jilli bin Sayyed Yahyā Zaahid rahmatullahi alaihi hai.
Aap Hasani saadaat hain.
********************
Aap apne waalid Hazrat Sayyed Abdullāh al-Jilli rahmatullahi alaihi ke mureed hain.
********************
Aap bahot bade Aabid, Zaahid aur Muttaqi the.
Ek martaba Aap dariya e Dajla ke kinaare par jaa rahe the. Achaanak ek saib paani me behta hua dekha. Aap ne use nikaal kar khaakar iftaar kiya. Phir jab chalne lage to khayaal aaya ke “Ma’aloom nahi saib kis ka tha. Qayaamat ke din ALLĀH ta’ala sawaal karega to kya jawaab dunga.” Aap foran saib ke maalik ko talaash karne ke liye se jis taraf se saib behta hua aaya tha usi jaanib chal pade. Raaste me kai baagh aaye magar un me us saib jaise saib nahi the. Bahot door jaane ke baad ek baagh me pahunche jis ki daaliyan dariya ki taraf thi aur us me waise hi saib the. Aap ne puchha to pata chala ke yeh baagh Hazrate Abdullāh Saumai ka hai.
Chunaanche Aap Hazrate Abdullāh Saumai rahmatullāhi alaihiki baargaah me haazir hue aur saib khaane ka waaqiya sunaaya aur muaf karne ya qeemat lene ke liye arz ki. Hazrate Abdullāh Saumai ne farmaaya “Saib ki qeemat bahot ziyada hai, adaa nahi kar paaoge.” Magar Aap ne israar kiya to Hazrate Abdullāh Saumai ne kaha ke “Us ke liye meri 2 sharten hain. Pehli shart yeh hai ki tumhe 12 saal tak mere baagh ki rakhwaali karni hogi aur us ke baad main tumhe dusri shart bataunga.”
Aap is ke liye tayyaar ho gaye. 12 saal Hazrate Abdullāh Saumai ke baagh ki rakhwaali karte rahe.
Ek din Hazrate Abdullāh Saumai ne Aap ko mehmaan ke liye phal laane ke liye kaha. Aap phal lekar aaye. Phal khaakar Hazrate Abdullāh Saumai ne kaha “Tum itne saal se baagh ki rakhwaali karte ho lekin tumhe yeh pata nahi ke kaun se phal kache hain aur kaun se phal pake hue hain.” Aap ne arz kiya “Main baagh ki dekh bhaal karta hu magar phalo ko chakhta nahi hu.”
Hazrate Abdullāh Saumai ne Aap se farmaaya “Saib ki muafi ke liye ab tumhe ek aur kaam karna hoga.” Aap ne puchha to farmaaya ke “Tumhe meri beti se nikaah karna hoga jo dekhti nahi hai, sunti nahi hai, koi cheez pakadti nahi hai, chalti nahi hai aur bolti nahi hai.” Aap is ke liye bhi raazi ho gaye. Nikaah ke baad raat ko jab kamre me gaye to hairaan hue ke waha bahot hi khubsoorat haseen o jameel aur tandurast aurat maujood thi. Aap foran palatkar kamre se baahar jaane lage. Is me darwaaze se takra gaye. Aap Hazrate Abdullāh Saumai ke paas gaye aur kaha “Jis se meri shaadi hui hai woh ladki kamre me nahi hai balki doosri ladki hai.”
Hazrate Abdullāh Saumai ne farmaaya “Wohi tumhari biwi hai. Maine tum se jo kaha tha us ka matlab yeh hai ke Meri beti Faatima ne kabhi kisi ghair mahram ko nahi dekha, us ne kabhi koi buri baat nahi suni, us ne apne haatho se kabhi galat kaam nahi kiya, us ke pair kabhi gunaah ki taraf nahi badhe, us ne kabhi koi khilaaf e shariat ya fuzool baat nahi ki.”
Aap ne khush hokar ALLĀH ta’ala ka shukr ada kiya.
********************
Ek martaba baadshaah ke sipaahi matke lekar jaa rahe the. Aap ne lakdi se un matko ko tod daala. Un logo ne baadshaah ko bataaya to baadshaah ne aap ko bulaaya. Baadshaah ne puchha ke “Matke kyun tode?” Aap ne farmaaya “Tujhe bachaane ke liye.” Baadshaah ne is ka khulaasa puchha. Aap ne farmaaya “Agar ye log matke lekar tumhare mahel me aate to tum is me rakhi hui sharaab peete. Maine matke todkar tumhe is gunaah se bacha liya.” Baadshaah ne kaha “Tum kaun ho?” Aap ne farmaaya “Mohtasib hu.” Baadshaah ne kaha “Tumhe kis ne mohtasib banaaya?” Aap ne farmaaya “Rabbul aalameen ne. Jis ka Amr bil Ma’aroof wa Nahi anil Munkar ka farmaan hai.” Baadshaah ne kaha “Aap mere yaha mohtasib ban jaao.” Aap ne farmaaya “Main nahi ban sakta.” Baadshaah ne kaha “Kyun nahi ban sakte?” Aap ne farmaaya “Main us ki naukri karta hu jo sab baadshaaho ka baadshaah hai.”
********************
Ek martaba Hazrat Khizr alaihis salaam tashreef laaye aur Aap ko salaam kiya aur phir Hazrat Khizr apne saath jo khaana laaye the woh dono ne khaaya.
********************
Aap ka nikaah Sayyeda Ummul Khair Amatul Jabbaar Faatima binte Sayyed Abdullāh az-Zaahid Sawmai rahmatullāhi alaihi se hua.
Aap ke 2 saahabzaade aur 1 saahabzaadi hain.
Saahabzaade :
(1) Shaikh Sayyed Muhiy-ud-deen Abdul Qaadir radiy-Allāhu ta’ala anhu,
(2) Sayyed Abu Ahamd Abdullāh rahmatullāhi alaihi.
Saahabzaadi :
Sayyeda Bibi Naseeba.
********************
Aap ka wisaal 11 Zil Qa’ada 489 Hijri (October 1096 A.D.) ko Jumeraat ke roz hua.
********************
Aap ka mazaar Jilan (Iran) me hai.
****************
ALLĀH ta’ala us ke Habeeb sallallāhu alaihi wa sallam ke sadqe me
Aur Hazrat Sayyed Abu Saalih Moosā Jangi-dost rahmatullāhi alaihi aur tamaam Auliya Allāh aur Ahle bait ke waseele se
Sab ke Eimaan ki hifaazat farmae aur Sab ko mukammal ishqe Rasool ata farmae aur Sab ko ikhlaas ke saath nek amal karne ki taufiq ata farmae.
Aur Sab ko duniya wa aakhirat me kaamyaabi ata farmae aur Sab ki nek jaa'iz muraado ko puri farmae.
Aameen.
04/05/2026
Hazrat Khwaja Sayyed Sadr-ud-deen Abul Fatah Muhammad Husaini rahmatullāhi alaihi :
♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦
Alqaab :
‾‾‾‾‾‾‾‾
Banda nawaaz, Gaisu daraaz, Shehanshaah-e-Deccan, Wali al-Kabeer as-Saadiq.
**********
Aap ki wilaadat 4 Rajab 720 Hijri (1320 A.D.) ko Delhi me hui.
Aap ke waalid ka naam Hazrat Sayyed Yousuf Husaini urfe Sayyed Raaja bin Sayyed Ali hai.
Aap Husaini saadaat hai.
Aur Hazrat Sayyed Zaid bin Imaam Zain-ul-Aabideen radiy-Allāhu anhu ki nasl se hain.
*****************
Aap ke pardaada Herat me rehte the. Sayyed Abul Hasan Jundib rahmatullāhi alaihi Khurasan se Delhi tashreef laaye the.
Aap ke waalid Hazrat Khwaja Nizaam-ud-deen rahmatullāhi alaihi ke mureed the.
Sultan Muhammad bin Tughlaq ke zamaane me 725 Hijri (1325 A.D.) me aap ka pariwaar Daulatabad (Devgiri) aa gaya.
*****************
731Hijri (1330 A.D.) me aap ke waalid ka inteqaal hua.
Us ke baad aap ke daada ne aap ki parwarish ki aur bunyaadi ta’aleem di.
15 saal ki umr me aap Hazrat Khwaja Naasir-ud-deen Chiraag e Dehli rahmatullāhi alaihi ke paas ta’aleem ke liye Delhi aaye.
Aap ne Hazrat Kethli, Hazrat Taaj-ud-deen Bahaadur aur Qaazi Abdul Muqtadir se bhi ta’aleem haasil ki.
Aap ne Delhi, Mewath, Gwalior, Chander, Aircha, Chatra, Chanderi, Miandhar, Baroda aur Khambaya me taaleem haasil ki.
Aap ne Qur’an, Ilm e nahaw, Hadeeṡ, Fiqh, Tafseer, Kalaam, Falsafa aur Tasawwuf ki ta’aleem haasil ki.
16 Rajab 736 Hijri (1 March 1336 A.D.) ko Aap Hazrat Naasir-ud-deen Chiraagh e Delhi rahmatullāhi alaihi ke mureed hue.
Aap ke Peer ne Aap ko majeed taaleem haasil karne ke liye farmaaya. Chunanche Aap ne Usool-e-Bizoori, Risaala Shamsia, Kashaf, Misbah, aur Qadoori ki ta’aleem haasil ki.
*****************
757 Hijri (1356 A.D.) me Hazrat Nasir-ud-deen Chiraagh e Dehli rahmatullāhi alaihi ne Aap ko khilaafat ata farmai.
Ek baar aap dusre mureedo ke saath apne peer ki doli uthaakar chal rahe the. Aap ke lambe baal doli ke andar phans gaye. Aap ko bahot dard hone laga. Magar apne peer ki mohabbat aur ta’azeem ki wajah se aap ne bardaasht kar liya aur zaahir na kiya. Jab Hazrat Khwja Naasir-ud-deen rahmatullāhi alaihi ko ye sab pata chala to aap bahot khush hue aur farmaaya :
‘Har ki mureed Sayyed Gaisu daraaz shud,
Wallāh khilaaf-e-nest ki Uoo ishq baaz shud.’
Is tarah aap ‘Gaisu daraaz’ ke naam se mashhoor ho gaye.
*****************
Ramazaan 757 Hijri me Peer ke wisaal ke baad Aap ne Khaanqah ki zimmedaari samhali.
Aap 44 saal tak Delhi me rahe aur logo ko ta’aleeme deen karte rahe.
Aap hamesha ghareebo aur haajatmando ko imdaad karte the. Aap ke paas khaana, kapde ya aur koi cheez aati to aap taqseem kar dete aur har aane wale ko ata farmate. Is liye aap ‘Banda nawaaz’ ke naam se mash'hoor hue.
*****************
Phir jab Timur ne Delhi par hamla kiya to Aap apne pariwaar aur mureedo ke saath Daulatabad ke liye rawaana hue.
Bahamani Sultan Taaj-ud-deen Firoz Shaah ki daawat par 800 Hijri (1397 A.D.) me Aap Gulbarga tashreef laaye aur khaanqaah ki taamir ki.
**********
Dauraan e safar ek baar Aap ne Gwalior me Maulana Ala-ud-deen Gwaliori ke ghar par qayaam kiya. Hazrat ko takleef na ho is liye Maulana ne apne ghar walo ko dusre makaan par bhej diya tha. Un ke bhai Maulana Shams-ud-deen bahot beemaar the. Unho ne Khwaja ko apne bhai ki sehat ke liye dua karne ke liye kaha. Khwaja ne unhe agle din aane ke liye farmaaya. Agle din jab Maulana aaye to aap ne farmaaya ‘Maine tumhare bhai ke liye dua ki. Magar mujhe ye farmaan hua hai ki tumhara bhai sirf 10 din ke liye zinda rehne wala hai.’ Maulana ne arz kiya ‘Phir aap ye dua farma dijiye ke mera bhai ba-eimaan dunya se jaaye.’ Aap ne farmaaya ‘Maine us ke liye dua kar di hai.’
10 roz baad raat ko Maulana ke bhai ka inteqaal ho gaya. Khwaja ne us ke janaaza me shirkat ki aur us ki namaaze janaaza padhai. Dafnaane ke baad aap ne qabrastan me Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ko marhoom ki madad aur hifaazat ke liye istegasah ki aur waapas aaye.
Kuchh din baad Maulana ne apne bhai ko khwaab me dekha. Unho ne us ka haal puchha. To us ne bataaya ki ‘Agar Khwaja ne mere liye Huzoor Rasool-Allāh sallallāhu alaihi wa sallam se istegaasah na ki hoti to mera haal bahot bura hota.’
***************
Aap Arabi, Faarsi, Urdu, Dakhni, aur Hindi ke maahir the.
Tasannif :
‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾
Aap ne taqreeban 195 kitaaben likhi hai.
Aap ki likhi hui mash'hoor kitaaben :
(1) Tafseer Multaqat
(2) Qaseeda Amali
(3) Adab-ul-Mureedeen
(4) Me'araaj-ul-Aashiqeen
(5) Sharh Awaarif-ul-Ma’arif
(6) Sharh Fasoos-ul-Hakam
(7) Sharh Mashareq
(8) Sharh Fiq'h-e-Akbar
(9) Risaala Qushairriyah
(10) Hawashi Kashaf
(11) Quwwat-ul-Qalb
(12) Asmaar-ul-Asraar
(13) Hadaiq-ul-Uns
(14) Hazair-ul-Quds
(15) Khaatimah.
♦ Aap ke Deccan ki taraf ke 10 mahine ke safar ke dauraan Wa’az aur naseehat ko aap ke Saahabzaade Hazrat Husain Muhammad Akbar rahmatullāhi alaihi ne ‘Jawaami-ul-Kaleem’ naami kitaab me jama kiye hain.
***************
Aqwaal :
‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾
(1) Agar koi Saalik shohrat ke liye Ibaadat ya Muraqaba karta hai to wo kabhi Soofi ya Wali nahi ho sakta.
Agar dil me khaufe khuda aur ikhlaas nahi hai to sab amal dikhaawa hai.
(2) Jab tak insaan khud ko dunyaawi muamalaat me se door nahi karta wo kabhi sahi raah ko nahi pa sakta.
Soofi (Saalik) ko dunyaawi muamalaat se masroof nahi rehna chaahiye aur aise logo se parhez karna chaahiye.
**********
40 saal ki umr me Aap ka nikaah Bibi Raza Khaatoon binte Sayyed Ahmad bin Sayyed Jamaal-ud-deen Maghribi ke saath hua.
Aap ke 2 saahabzaade aur 3 saahabzaadiya hain.
Saahabzaade :
(1) Sayyed Husain urfe Muhammad Akbar Husaini
(2) Sayyed Yousuf urfe Muhammad Asghar Husaini.
Saahabzaadiya :
(1) Bibi Faatima
(2) Bibi Batool
(3) Bibi Umme Deen.
***************
Aap Hazrat Khwaja Sayyed Naasir-ud-deen Mahmood Chiraagh e Dehli rahmatullāhi alaihi ke mureed aur khalifa hain.
Aap se ‘(Chishti Nizaami) Husaini’ silsila jaari hai.
Aap ke khulfa :
(1) Hazrat Khwaja Sayyed Husain urfe Muhammad Akbar Husaini rahmatullāhi alaihi
(1) Hazrat Khwaja Sayyed Yousuf urfe Muhammad Asghar Husaini rahmatullāhi alaihi (Sajjaada nasheen)
(2) Hazrat Khwaja Muhammad Ilm-ud-deen rahmatullāhi alaihi (Patan, Gujarat),
(3) Hazrat Maulana Ala-ud-deen Gwaliori rahmatullāhi alaihi,
(4) Hazrat Sayyed Shaah Jamaal-ud-deen Maghribi Husaini rahmatullāhi alaihi,
(5) Hazrat Sayyed Sa’ad-ud-deen bin Umar urfe Baabu Shaah Chishti rahmatullāhi alaihi (Khambhat, Gujarat).
****************
Aap ka wisaal 16 Zil Qa’ada 825 Hijri (1 November 1422 A.D.) ko 105 saal ki umr me hua.
Aap ka mazaar Gulbarga, Karnataka me hai.
****************
ALLAH ta’ala us ke Habeeb sallallāhu alaihi wa sallam ke sadqe me
Aur Hazrat Khwaja Banda nawaaz Gaisu daraaz Sayyed Muhammad Husaini rahmatullāhi alaihi aur tamaam Auliya Allāh aur Ahle bait ke waseele se
Sab ko mukammal ishq e Rasool ata farmae aur Sab ke Eimaan ki hifaazat farmae aur Sab ko nek amal karne ki taufiq ata farmae.
Aur Sab ko dunya wa aakhirat me kaamyaabi ata farmae aur Sab ki nek jaa'iz muraado ko puri farmae.
Aameen.