Hyderabad :- Awaam ki khidmat ke liye
Darussalam ka Darwaza hamesha khula Rehta hai.
Owaisi Grp of India
All India Majlis e Ittehadul Muslimeen ..!
Congratulations Rcb for winning IPL-2026 🔥
Special Intensive Revision ( SIR ) ka form bharte waqt spelling ka khaas khayal rakhein.
29/05/2026
AIMIM ke zer-e-ehtemaam aaj 29 May 2026 Baroz-e-Jumma ko baad Namaaz-e-Maghrib Party Headquarters Darussalam, Hyderabad mein 'Eid Milap Taqreeb' munaqid hogi.
Aap tamaam se guzarish hai ke is taqreeb mein shirkat farma kar program ko kaamyaab banayein.
28/05/2026
Aap tamaam ko Eid-ul-Adha ki Purkhuloos Mubarakbaad..
Allah Ta'ala hum Sab ki Qurbaniyo'n ko Qubool farmaye. Sath hi humein Hazrat Ibrahim ( A.S. )
Aur Hazrat Ismail ( A.S. ) ki Qurbani ko Yaad Rakhne aur us Par Amal karne ki Taufeeq ataa Farmaye ..!
Namaz e Eid 🫡
Asaduddin Owaisi
25/05/2026
AIMIM ka Darussalam Daftar awaam ki khidmat ka markaz hai, jahan har shakhs ke masaail ko tawajjo ke saath suna jaata hai aur unke hal ke liye har mumkin koshish ki jaati hai.
Hamesha ki tarah aaj bhi AIMIM MLAs, MLCs aur doosre zimmedaraan ke sath awaam ki khidmat mein haazir hua aur unke masaail suna. InshaAllah! tamaam masaail ko jald az jald hal karne ke liye har mumkin iqdaamaat kiye jaayenge.
