Bewafa Shayari

Bewafa Shayari

Share

Afwah na uda ke maine NA keh di,
Apne dil se pooch, Inkaar kisne kiya tha...!! Uss Qaatil Ne Aesa War Kiya Hai Dil Pe.. Ki- Hassna Bhi Chahu toh Hasa Nhi Jata ..

02/07/2023

Ai Hawa tu hi use Eid-Mubarak kahiyo,

Aur kahiyo ki koi Yaad kiya karta hai.

02/07/2023

Tujh ko Meri, Na Mujhe Teri Khabar Jaegi,

Eid ab ke bhi dabe Paanv Guzar Jaegi.

Rare Qawalli - Maine Dekha Use Ibteda Ho Gayi - Ustad Nusrat Fateh Ali Khan 05/03/2022

Bewafayi Toh Ki Tune Aye Bewafa
Jaane Duniya Yeh Kyun Bewafa Ho Gayi
Hum Ibaadat Mein Rasmon Ke Qaayil Nahi
Tujhko Dekha Toh Yaad E Khuda Ho Gayi

Rare Qawalli - Maine Dekha Use Ibteda Ho Gayi - Ustad Nusrat Fateh Ali Khan Tujh ko kya isse koi jiye ya mare,rooth jaana to teri ada ho gayi,Chain dil ko nahi lamha bhar ke liye,Lamha bhar ki mulaqat kya ho gayi,Zindagi apni kitni s...

03/01/2022
01/01/2022

Saal hi to badla hai, Halaat thode hi badle hain.

26/05/2021

मैंने शाहों की मोहब्बत का भरम ही तोड़ दिया,
अपने कमरे में जो एक ताजमहल बना दिया ।।
✍🏻

16/09/2020

Hum Ne Tere Baad Mohabbat Ko,
Jab Bhi Likha Gunaah Likha...!!!

16/09/2020

Hasrat ye hai ke ameer ban jau'n,
Khushaali Dil ki magar kehti hai, ke hum gareeb ache...!

16/09/2020

Seene ke zakhm paanv ke chhale kahan gaye
Ai husn tere chahne wale kahan gaye
~Kaleem Aajiz

16/09/2020

Ya rab mujhe na maal, na jah-o-jalaal de,
Do din ke baad rizq de lekin halaal de..!

10/08/2020

Ab to badnami se shohrat ka wo rishta hai ki log,
Nange ho jaate hain Akhbaar mein rehne ke liye....!!

24/02/2020

Ye jo halka halka suroor hai
Yeh teri nazar ka qasoor hai
Ke sharaab peena sikha diya

Want your business to be the top-listed Government Service in Chandigarh?

Click here to claim your Sponsored Listing.

Location

Website

Address


Chandigarh
160017