Surah Fatiha aur Surah Baqra Ki Aakhiri 2 Ayaat Padhke Jo Dua Mangi Jaati Hai Allah Use Zaroor Qubul Krta Hai .
SAHIH MUSLIM : 806
Jamia Salafiyyah Punjab
Salafiyyah is the only original form of Islam. Call or WhatsApp: 9855546662 Learn Reading and more before going to school
02/11/2025
Nabi Muhammad (Sallallahu alaihi wasallam) ne farmaya: "Meri Ummat 73 firqo mein takseem ho jaye gi, un mein sab jahanami hai siwaye ek jamat ke.
Aap se pucha gaya wo konsi jamat ho gi ya rasoolullah?
Aap ne farmaya: "Jo mere aur mere sahaba ke tarike ko apnaye gi (Ahle Hadees).
(Tirmidhi 2641)
Umar ibn Al Khattab: "Har musalmaan ko Abdullah ibn Huzaifa (RaziAllah anhu) ki peshani (maatha) choomni chahiye"
Roman (christians) ne mahaan sahabi Abdullah ibn Huzaifa as sahami (raziaallah anhu) ko hirasat mein liya aur baadshah ke pas le gaye, baadshah ne kaha "Tum christian ban jao to mein apni saltanat tumare sath share kar luga aur apni beti ki shaadi tumahre sath kar duga."
Sahabi ne jawab diya "Agar tum sab de do jo tumhari malkeeyat mein hai aur jo arab ki malkeeyat mein hai fir be mein muhammad (sallallahu alaihi wasallam) ke Deen ko palak japakne ke waqt ke liye be nahi inkaar karu ga."
Baadshah ne kaha, "fir mein tumhe maar duga."
Sahabi ne kaha, "ye tum par hai."
Fir baadshah ne fansi ka hukam diya aur kaha ki sahabi ke hath aur pear par teer maare jaye aur kaha ki tum christian ban jao magar sahabi inkaar karte rahe."
Fir baadshah ne hukam diya ki sahabi ko uttaar diya jaye aur ek bohat vishaal bartan mein Tamba piglaya jaye.
Fir ek muslim keidi ko laya gaya aur us bartan mein daal diya gaya, jab sahabi ne dekha to waha kuch nahi tha siwaye hadiyon ke. Fir baadshah ne sahabi ko christian bane ke liye bola magar sahabi ne inkaar kar diya.
Fir baadshah ne hukam diya ki sahabi ko us bartan mein daal diya jaye, fir sahabi ko ek pulli par le jaya gaya aur sahabi roone lage, baadshah ko lga ki ab sahabi christian ban jaye ge aur sahabi ko fir christian bane ke liye pucha.
Par Abdullah ne kaha, 'mein es liye ro Raha hu ki mere pas sirf ek he jaan he jo Allah ke liye es bartan mein daali jaye gi, mein khwahish karta hu ki mere pas itni jaane hoti jitne mere j**m par baal hai sab ki sab Allah ke liye ye takleef sehti."
Kuch reports ke mutabik sahabi ko jail mein rakha gaya aur khane aur peeni se kai din mehroom rakha gaya aur fir sahabi ko shraab aur suyar diya gaya magar sahabi ne enko touch be nahi kiya.
Baadshah ne sahabi ko bulaya aur pucha, "tumne ye kyu nahi khaya?"
Sahabi ne jawab diya, "Mere liye ye jayaz tha ki mein enko kha lu es halat mein magar mein tumhe itminaan nahi dena chahta tha."
Baadshah ne kaha, "Meri peshani (maatha) ko chumo aur mein tumhe jaane duga."
Sahabi ne kaha, "kya tum mere Saathion ko be azaad kardoge?"
Baadshah ne kaha, "han"
Fir sahabi ne baadshah ki peshani ko chuma aur usne sab ko jaane Diya.
Jab sahabi madina wapas aaye, Hz Umar ibn al khattab ne kaha, "har musalmaan Abdullah ibn Huzaifa ki peshani ko chumme aur mein sab se phele chummu ga," fir khalifa e waqt uthe aur sahabi ke sar ko chumma.
(Zindagi aur waqt of Umar ibn Al khattab by Ali Muhammad As sallaabi vol 1 page 273. Tasir ibn Kasir 2/610)
Attiullah wa attiurrasool
KaalAllah wa kaalarasool
Kitabullah wa sunnat-e-rasool
Attat (obey) Allah ki aur Uske rasool ki
Hukam Allah ka aur Uske rasool ka
Allah ki kitab (Quran) aur Nabi ki Sunnat (Hadees)
(Quran 4-59, 24-54)
Wahid raasta hai Duniya aur aakhirat ki kamiyabi ka.
Example: Sahaba aur Salaf
Duniya ki baadshahi be mile gi aur aakhirat mein Jannat tul firdos aur Allah ka deedar.
11/05/2025
Jamia salafiyyah Punjab India
11/05/2025
Jamia salafiyyah Punjab India
06/05/2025
Hidayat ki zarurat
Shaikh ul Islam Ibn Taymiyyah (rahimhullah) farmate hai: " (Allah ki taraf se) Hidayat zayada zaruri hai (Allah ki) madad aur rizq hasil karne se - balke en mein koi mukabala he nahi hai."
(Majmu al fatawa 14/39)
Allah Fasaad Karne Walo Ko Pasand Nahi Karta .
QUR'AN : 2 : 205
22/04/2025
Click here to claim your Sponsored Listing.
Location
Telephone
Website
Address
Delhi
