10/02/2026
Aakhir jis ka darr tha wahi hua?
Mohammed Deepak (Deepak Kumar), jinhon ne haal hi mein 70 saal ke buzurg Musalman ki madad ki thi aur Bajrang Dal ke logon ka muqaabla kiya tha,
aaj apne hi logon se haarte hue nazar aa rahe hain.
Reports ke mutabiq, unke zariye chalaya ja raha The Hulk Gym, jahan pehle taqreeban 150 log aate thay, ab sirf 15 log hi aa rahe hain.
Aur gym ke lagbhag 90% logon ne apna regular subscription band kar diya hai.
Reports ke mutabiq, ab gym band hone ke qareeb pahunch chuka hai aur Deepak sakht maali tangi ka saamna kar rahe hain.
Us waqia ke baad sab se pehle unka saath unke apne logon ne hi chhor diya, jabke unki bahaduri ki charcha poore mulk mein hui.
Humein Deepak jaise logon ki madad ke liye aage aana chahiye aur unhein tootne se bachane ke baare mein sochna chahiye.
Warna aane wale waqt mein koi bhi Mohammed Deepak banne ki himmat nahi kar payega.