08/02/2016
Ye meri ab tak ki sabse lambi kavita hai, kaafi koshish k baad apni kalam ko rok paya hu, ye duniya k har dosto k naam hai jisne sachhi dosti ki or nibhayi hai, mai aap logo se nivedan karta hu ki is kavita ko har seemaye laanghne me madad kare or har us sachhe dost tak pahunche agar wo bhi is kavita mehsoos kare or yaha suchit kare ki kya mehsoos kiya.......shaya padhne k baad kisi ko apne sachhe dost ki yaad aa jaaye.......aap logo ki taaliya comment ban kar aani chahiye or mujhe himmat mile ki or bhi dosto k naam kuch likh paau....suna hai ki jinhe sachhe dost milte hai unki zindagi safal ho jati hai...... To kuch panktiya apne yaaro k naam....."fir se wahi zindagi jine ja raha hu".......dhanyawad
Zindagi ka ek naya panna purani kalam se likhne ja raha hu,
Palte huye un behtarin zindagi k panno ko fir se padhne ja raha hu,
Bhag daud ki zindgi se kuch pal chura kar thoda saans lene ja raha hu,
Ek baar fir se wahi zindgi jine ja raha hu,
Koi roko nahi mujhe, us purani duniya me ja raha hu,
Har wo purani yaade taaza karne ja raha hu,
Purane dosto ko gale lagakar paaglo ki tarah hasne ja raha hu,
Ek baar firse wahi zindagi jeene ja raha hu,
Rajiv bhaiya, Rahul, alok, manish, rachit, sayanjan bhaiya,
Aap sab k saath dhamal machane aa raha hu,
Wahi purine din or raat jeene aa raha hu,
Fir se wahi purani zindagi jine ja raha hu,
Dusro ko jina sikhate khud jina bhool gaya,
Ummeedo ke bojh k tale khul k hasna bhool gaya,
Apni sapno ki duniya chhod hakikat me jeene ja raha hu,
Fir se wahi zindagi jine ja raha hu,
Papa maaf karna kuch din k liye aapse door ja raha hu,
Chinta mat karna maa ko apne saath liye ja raha hu,
Chhote ko aapke pass chhode ja raha hu,
Kuch dino k liye wahi purani zindagi jine ja raha hu,
Ganga maiya teri god me sir rakhne,
Baba vishwanath ka aashirwaad lene,
Banaras ki pawan dharti chhune aa raha hu,
Fir se wahi zindagi jeene aa raha hu,
Shayad maine chand paise nahi kamaye,
Par khush hu ki maine aise dost kamaye,
Thoda unke liye bhi jine ja raha hu,
Fir se wahi zindgi jine ja raha hu,
Kya pata dosto k saath marna naseeb ho ya na ho,
Mauka mila hai saath jine ka to ji bhar k ji lene do,
Dosti ka haq dosto kuch yu ada karne ja raha hu,
Fir se tumhare saath wahi zindagi jine aa raha hu,
Mai rahu ya na rahu is duniya me,
Mere ye shabd shayad rahe duniya me,
In shabdo se logo ko dosti ka matlab samjhane ja raha hu,
Isiliye fir se wahi zindagi jine ja raha hu,
Facebook gawah banega in palo ka,
Nisha milega yahi zindagi k bikhre huye panno ka,
Har koi mehsoos kar paaye in lamho ko dilo me,
Isiliye fir se wahi zindagi jine ja raha hu,
By:- Amar Nath Singh ‘Chouhan’