10/27/2026
🚧🔥 OUR WORK – OUR IDENTITY 🔥🚧
ZAMEEN SE JUDI SIYASAT, AWAM KE SAATH HAR WAQT!
🏗️ QUALITY PAR KOI SAMJHOTA NAHI! AWAM KE PAISON KA HAR KAAM MIYAARI HONA CHAHIYE! 💯
Naqeeb-e-Millat Alhaj Barrister Asaduddin Owaisi Sahab, MP Hyderabad & President AIMIM ki hidayat par aur Mir Zulfikar Ali Sahab, MLA Charminar AIMIM ki zer-e-nigrani mein, Sunnam Raj Mohan Sahab, Ex-Corporator AIMIM Puranapul Division ne Kal Bhairav Temple ke opposite road par jaari New CC Road ke kaam ka inspection kiya.
🔴 Inspection ke dauran contractor ko sakhti se hidayat di gayi ke CC Road ke kaam mein quality ka poora khayal rakha jaye. Kaam sirf mukammal karna hi maqsad nahi, balki mazboot, paayedaar aur miyaari kaam karna zaroori hai, taake awam ko lambe arse tak iska faida mile.
💪 Majlis ka wazeh paighaam: Kaam ki raftaar ke saath quality bhi laazmi hai! Awam ki sahulat, unke masail ka hal aur ilaqe ki taraqqi hi hamari siyasat ki asli pehchaan hai.
🤝 Is mauqe par Abhishek Raj Saxena AIMIM, Babu Anna aur Majlis ke muqami sudoor-o-motamadeen bhi maujood the.
🖐️ AIMIM ka maqsad sirf waade karna nahi, balki zameen par kaam ki nigrani karna aur awam ko behtar sahuliyat faraham karna hai!
AIMIM – Awam ki Awaaz, Awam ke Saath! 🪁